"Naam nehad musalaman se aap ki kia murad hai Umeed Bibi??? Agar Imaan Ali Naam Nehad Musalaman hai to kia hum sub naam nehad musalman nahin hain. Jin k ama'al or afa'al Islam k bataye hueye kisi asool se mutabaqat nahin rakhte. Jin k Imaan kamzor hote hain, jo sari zindagi sirf is baat ka faida uthate hain K paidaishi tou per muslman gharane mein paida kiya gaya. Warna agar deen k liye koi qurbani deni parhe to musalmanon ki in fehriston mein khasi tada'ad kam ho jati hai. Magar sirf dawa kerna parhe to her musalman apne ilawa kisi doosre ko musalman tasleem he nahin kerta."


~Imaan, Umeed or Mohabat~ (Umera Ahmed)