Originally Posted by
CaLmInG MeLoDy
Q1: apnay mulk ka kaun sa sheher hai,Islamabad k elawa jisay dekhnay,sair karnay ka shauq hain?
Multan & Qasoor
Q2: Karachi anay ka irada tou nahi kiya na kabhi?
abhi last month hi karachi main thi. aur khoob enjoy kia..is ke ilawa bhi kaafi bar aana hua..ab ke aai toh aap se mulaqaat hogi :P
Q3: yaad aya,tum ne aik safar nama numa cheez likhi thi,aik aur forum par,meray hi announce kardah compt k liye,usay parh kar meray zehan main aik sawal aya tha,ye rubby dubby do,Umrah karnay gai thi ya khanay khanay??? tum batao kiya karnay gai thin???
Alhamdulillah umrah karne gai thi.par wahan chal chal ke itni bhoook lagti hai ke khaana peena par hi jata hai.. :)
Q4: janwar palnay ka shauq hai,,,,,,,,,,,,?
Naaaaaa
Q5: barish ho tou main pehlay kaam kiya karti ho?
room ke khirki darwaaze kholti hoon.agar bochaar kamre tak nahi aa rahi ho .
Q6: college,uni main kabhi class bunk ki????
kabhi nahi.. haan albatta class main se chup ke faraar zaroor ikhtiyaar kia during period
Q7: kaun sa subject munh k zawaiye bigar diya karta hai aur hai abhi talak..??
Maths
Q8: kabhi ulti kitab parhi koi,,,,,,,,,yani ikhtetam say ibteda ki janib?
akhbaar-e-jahaan aise hi parha...
Q9: kiya ziyada zaroori hai,,,,,,,,,,,mobile,laptop.........ya phir sukoon???
sakooon
Q10:ghar ko saaf karna pasand hai ya ganda..............????
saaf suthra ghar pasand hai.