Re: Aaiye AapKi Shamat Hai..................!!!
Quote:
Originally Posted by
CaLmInG MeLoDy
bohot bohto shukria ji..
you welcome ji
chalein ji jaldi se ans post karein
Re: Aaiye AapKi Shamat Hai..................!!!
Aryyy aj hum late ho gy aur yaha nehlay py dehla parr gaia....
Aj to aia ont pahar k nechay....;hansi::
Re: Aaiye AapKi Shamat Hai..................!!!
Quote:
Originally Posted by
Ria
Aryyy aj hum late ho gy aur yaha nehlay py dehla parr gaia....
Aj to aia ont pahar k nechay....;hansi::
tou aap ghayab kiyun hua karti hain
aur aapk sawalat kahan hain rubby say puchnay walay
dekhiye,moqa acha hai,kar daliye dhair saray sawalat,akhir ko iss larki ne bhi do bar,aik nahi do bar humaray saron par sawalat ki bochar ki hai :)
aur haan rubby darling k liye muhawarra thorsa sa tabdel hai
ab aya track,pull k nechay ;);hansi::
Re: Aaiye AapKi Shamat Hai..................!!!
Quote:
Originally Posted by
Mamin Mirza
bechay hum balaye jaan hain,jonk ki tarhan chimatay hain aur jaan nahi chortay
balkay humari misal tou uss daimi marz ki si hai jis elaj koi nahi,sirf marg hi hum say jaan churwa sakti hai,hahahahahahaha
aur humaray yaad karnay par sirf chinkain........... ch ch ch ch ch ch ch
betay,phanday,thaskay,khansi ye sab nahi hua tumhay ;hansi::
chalo waqt bataye ga,kis main kitna hai...............ahum ahum ;)
tum mujhe kiya ye phul jhari day rahi ho,yaar,
ye lo tumhari shaan main 21 topon ki salami,
rakhi tou akhir k liye thi k jab haftay baad ye interview khatam hoga tab tumhari nazar karon gi
magar abhi dena par raha hai mujhe
https://www.ispr.gov.pk/archive_images/2606.jpg
dratay waratay hum nahi,sirf mutanabeh kartay hain,baqi samnay walay ki marzi
wesay darnay wali tum ho nahi,mujhe maloom hai ;;;
:P:P toupoun ki salaami toh aise de rahi hain ..jaise ruby na hoi bharat ho gaya. yaani naam salaami ka. kaam tamaam ke iraade :P.
waise main dar bhi jati hon...par bataati koi nahi :P
Re: Aaiye AapKi Shamat Hai..................!!!
@Mamin Mirza
kitnay achay achay main ghair sanjeeda sawalat kiye thy,
tum ne wahi falsafiyana andaz ikhityar kar k sab kiye karaye par pani phair diya,
oh ab pani phair dia hai toh zara wiper ache se lagaaiye ga...
aisi durgat banai hai meray sawalat ki k al aman alhafeez
kabhi gharoor nahi kia is harkat par..
ab main tum say wahi lagay bandhay sawal karon gi jaisay k
ab aap mera ullu seedha kar chuki hain.toh main ab ullu ban gai hon :P ab koi seedha jawab nahi milne ka. :P
Q1: aapne raat ka khana theek say khaya,,,,,,,,,,khanay main kiya pakaya?
khaane main kisi dish ka intizar nahi hota.. bas kisi ka bhaija fry hone ki dair hai..usko chaatne baith jati hon. us se bhi pait nahi bhara toh yahan aa baithti hoon :P
Q2: soti kis waqt ho.......macharon say dosti hai ya sari raat jang karni parti hai,meri tarhan?
arre macharoun se kia darna..wo mujhe kia kaathain ge..main hi unko kaath khaati hoon . aap kahain toh aik love letter aap ke naam arsaal karon.aur us main ghar ke tamaam macharoun ki laashain bhi post karon .
Q3: high heel pehanna pasand hain ya nangay pair hi ghomti ho ab tak bachpan ki tarhan?
haye haye.main toh high heel bardaasht kar leti hon.par high heel mujhe bardaasht kare tab na. ye aap ko kaise pata chala ke main nanng pairiyaa hoon :P
Q4: sari pehan ki kabhi munh k bal girin?
ab ke gir hi jaoongi lagta hia :P
Q5: din main taray nazar anay ka koi waqiya kabhi waqu pazeer hua ho tumharay saath tou bayan karo,woh bhi intehai ghair sanjeedgi say?
ji abhi aap ne taare hi toh ginwaa diye hain. ab taare tor laane ki himaqat toh ham ne kabhi ki nahi..ginn zaroor leti hoon . aur maze ki baat .door se aik taara chaar taare ki tarha nazar aata hai.phir andaza lagaaiye kitni jaldi ye taare gine jaate honge mujh se. :P
Re: Aaiye AapKi Shamat Hai..................!!!
Quote:
Originally Posted by
CaLmInG MeLoDy
:P:P toupoun ki salaami toh aise de rahi hain ..jaise ruby na hoi bharat ho gaya. yaani naam salaami ka. kaam tamaam ke iraade :P.
waise main dar bhi jati hon...par bataati koi nahi :P
salami fiza main di jati hai,direct banday ko nahi
haan bharti samnay hoon tou phir mamla kuch aur hota hai aur woh tou aisa hai k hum hain aik pakkay pakkay pakistani so age tum khud samjh jao ;)
ahaan,,,,,,,,,,,,,, woh jo tum batati nahi ho,woh darna hai tumhara..........????
Re: Aaiye AapKi Shamat Hai..................!!!
Quote:
Originally Posted by
Mamin Mirza
salami fiza main di jati hai,direct banday ko nahi
haan bharti samnay hoon tou phir mamla kuch aur hota hai aur woh tou aisa hai k hum hain aik pakkay pakkay pakistani so age tum khud samjh jao ;)
ahaan,,,,,,,,,,,,,, woh jo tum batati nahi ho,woh darna hai tumhara..........????
samajh gai hoon janab..lakin aik bat kehte nahi dar rahi ..wo ye ke.I am proud pakistani.. Alhamdulillah..is pak sar zameen ki shehri hoon.aur bohot Allah pak ka shukar ada karti hoon is baat par..
ab lagta hai mujhe darna nahi c hahiye..toupoun ka rukh aap ne meri taraf se hata liya hai ga... :P
Re: Aaiye AapKi Shamat Hai..................!!!
Quote:
Originally Posted by
Mamin Mirza
tou aap ghayab kiyun hua karti hain
aur aapk sawalat kahan hain rubby say puchnay walay
dekhiye,moqa acha hai,kar daliye dhair saray sawalat,akhir ko iss larki ne bhi do bar,aik nahi do bar humaray saron par sawalat ki bochar ki hai :)
aur haan rubby darling k liye muhawarra thorsa sa tabdel hai
ab aya track,pull k nechay ;);hansi::
Haan je ghaib hona shyd majbori bn chuka hy...:D
Yaksaniyat ka shikar ho jati houn jald he...:P
es liye jee chahta hy k Dunaia sy pary chli jaoun sakoon k liye/
jald he sawalat k sath hazir hoti houn...:)
Re: Aaiye AapKi Shamat Hai..................!!!
Quote:
Originally Posted by
CaLmInG MeLoDy
samajh gai hoon janab..lakin aik bat kehte nahi dar rahi ..wo ye ke.I am proud pakistani.. Alhamdulillah..is pak sar zameen ki shehri hoon.aur bohot Allah pak ka shukar ada karti hoon is baat par..
ab lagta hai mujhe darna nahi c hahiye..toupoun ka rukh aap ne meri taraf se hata liya hai ga... :P
haan,hum tou jaisay koi ghair mulki agent hain :P
nahi,tum daro abhi,kiyun k ishq k inteham aur bhi hain
aur
aur bhi dukh bhi hain zamnay main Muhabbat k siwa =))
Re: Aaiye AapKi Shamat Hai..................!!!
Quote:
Originally Posted by
Ria
Haan je ghaib hona shyd majbori bn chuka hy...:D
Yaksaniyat ka shikar ho jati houn jald he...:P
es liye jee chahta hy k Dunaia sy pary chli jaoun sakoon k liye/
jald he sawalat k sath hazir hoti houn...:)
duniya say par koi aisi jagah nahi hai,jahan aap hangam e zindagi say farar hasil kar sakain,
aur zindagi k hangam say rihai mil bhi jaye tou andar ka shor phir bhi jaan nahi chorta,,khair
zaroorrrrrrrrrrrr aye sawalt k saath,waiting for ur sawalat....!