Ghazal: Gubaar dil pe bahut aa gayaa hai, dho lain aaj " Fareed Javed"
Gubaar dil bahut aagya hai, dho lain aaj
Khuli faza main kahin door jaaker ro lain aaj.
Dayaar -e-gair main ab door tak hai tanhaayi
Ye ajnabi dar-o-deewar kuch to abole aaj.
Tamaam umra kii bedaariyan bhi sah lenge
Mili hai chaanv to bas ek neend so lain aaj.
Tareb ka rang mohabbat ki lau nahin deta
Tareb ke rang main kuch derd bhii samo lain aaj
Kise khaber hai ke kal zindgi kahan le jaaye
Nigaah-e-yaar tire saath he na ro lain aaj.
Re: Ghazal: Gubaar dil pe bahut aa gayaa hai, dho lain aaj " Fareed Javed"
Quote:
Originally Posted by
Ram Mohan
Gubaar dil bahut aagya hai, dho lain aaj
Khuli faza main kahin door jaaker ro lain aaj.
Dayaar -e-gair main ab door tak hai tanhaayi
Ye ajnabi dar-o-deewar kuch to abole aaj.
Tamaam umra kii bedaariyan bhi sah lenge
Mili hai chaanv to bas ek neend so lain aaj.
Tareb ka rang mohabbat ki lau nahin deta
Tareb ke rang main kuch derd bhii samo lain aaj
Kise khaber hai ke kal zindgi kahan le jaaye
Nigaah-e-yaar tire saath he na ro lain aaj.
bht aalaa sharing keep it up