ShArE yOuR pErSoNeL eXpErIeNcEs!!!
Insan ki zindagi main aise bohot se awaamil aate hain, aise bohot se lamhe aate hain,,aisi bohot si bari se bari baat bhi aati hai, aur bohot choti si bhi koi baat aa jati hai jis se insan kuch na kuch seekh leta hai.is ke ilawa insan ki zindagi main koi aisa insan aa jata hai kisi bhi roop main ke jis se insan bohot kuch seekh leta hai.
yahan meri aap sab se guzaarish hai ke aap apne zaati experience ko share karain.aur jo baat ap ne seekhi wo hamain bhi seekhne ka moqa dain..
main bhi INSHAALLAH almost daily hi yahan koi na koi baat share karoongi..
JAZAHKALLAH..
adhoorey khawabon k khasta kaghaz sambhal rakhna hisab hoga
ادھورے خوابوں کے خستہ کاغذ سنبھال رکھنا حساب ہوگا
wafa k rishtey jafa ki rutt mein bahaal rakhan hisab hoga
وفا کے رشتے جفا کی رت میں بحال رکھنا حساب ہوگا
sunehrey jazbon ki qader kerna rafaqaton mein waqar rakhna
سنہرے جذبوں کی قدر کرنا رفاقتوں میں وقر رکھنا
andhair nagri mein dil jala k kheyal rakhna hisab hoga
اندھیر نگری میں دل جلا کے خیال رکھنا حساب ہوگا
mohabbaton k safeer ban k jo chahaton k naqeeb ban'na
محبتوں کا سفیر بن کےجو چاہتوں کا نقیب بننا
raah e wafa mein na tum kisi se malal rakhna hisab hoga
راہ وفا میں نہ تم کسی سے ملال رکھنا حساب ہوگا
Lots Of Love,
(¨`•.•´¨) Alwayz
`•.¸(¨`•.•´¨) Keep
(¨`•.•´¨)¸.•´ Smiling!
`•.¸.•´
point to be noted!!!
aap sab se meri request hai ke apna experience green colour main share karain..toh numaaya ho sake.baki post beshak kisi bhi colour main ho..baki aap logon ki marzi hai jaise jee chahe karain ye just request hai..ap ki marzi hai amal karain ya nahi.
Re: ShArE yOuR pErSoNeL eXpErIeNcEs!!!
mera jo sab se pehle sabaq tha zindagi main jo main ne seekha wo tha how to control anger...bohot hi mushkil kaam aur din ba din insaan main ghussa barhta rehta hai..kuch waqt pehle mujhe bhi har aisi baat jo mujhe galat lagti thi main us pe bohot ghussa kia karti thi.aur phir kabhi koi jawab toh kabhi koi jawab de dia karti thi.aur socha karti thi ke moonh pe baat keh kar bohot acha kia main ne.magar baad main pachtaawa hua karta tha ke main ne ye baat galat kar di.
ye baat garoor wali kar di.aur ye baat mujhe karni nahi chahiy thi..andar hi andar sharmindagi hua karti thi..phir main ne apne ghusse ko control karna seekha..aur is ke liye main ne sab se pehle ye seekha ke kisi ko bhi ghusse wale lehje main baat nahi karni hai.aur jo baat hai usko bohot suljhe hue tareeqe se is andaaz main karni hai ke doosre ko mera point of view bhi samajh aa jaye aur main ghusse main sharminda hone wale alfaaz bolne se bhi ruk jaoon..aur yakeen jaaniye..us ke baad se aaj tak.ghussa hone ke baad main sharminda nahi hui..haan galti bhi hui kabhi.par bohot kam..
INSHAALLAH aainda bhi ye galti nahi hua kare gi..
Re: ShArE yOuR pErSoNeL eXpErIeNcEs!!!
adhoorey khawabon k khasta kaghaz sambhal rakhna hisab hoga
ادھورے خوابوں کے خستہ کاغذ سنبھال رکھنا حساب ہوگا
wafa k rishtey jafa ki rutt mein bahaal rakhan hisab hoga
وفا کے رشتے جفا کی رت میں بحال رکھنا حساب ہوگا
sunehrey jazbon ki qader kerna rafaqaton mein waqar rakhna
سنہرے جذبوں کی قدر کرنا رفاقتوں میں وقار رکھنا

بہت عمدہ اور لاجواب
Re: ShArE yOuR pErSoNeL eXpErIeNcEs!!!
Quote:
Originally Posted by
CaLmInG MeLoDy

اسلام وعلیکم

intelligent086

Bohot nawaazish.
Re: ShArE yOuR pErSoNeL eXpErIeNcEs!!!
Quote:
Originally Posted by
CaLmInG MeLoDy
mera jo sab se pehle sabaq tha zindagi main jo main ne seekha wo tha how to control anger...bohot hi mushkil kaam aur din ba din insaan main ghussa barhta rehta hai..kuch waqt pehle mujhe bhi har aisi baat jo mujhe galat lagti thi main us pe bohot ghussa kia karti thi.aur phir kabhi koi jawab toh kabhi koi jawab de dia karti thi.aur socha karti thi ke moonh pe baat keh kar bohot acha kia main ne.magar baad main pachtaawa hua karta tha ke main ne ye baat galat kar di.
ye baat garoor wali kar di.aur ye baat mujhe karni nahi chahiy thi..andar hi andar sharmindagi hua karti thi..phir main ne apne ghusse ko control karna seekha..aur is ke liye main ne sab se pehle ye seekha ke kisi ko bhi ghusse wale lehje main baat nahi karni hai.aur jo baat hai usko bohot suljhe hue tareeqe se is andaaz main karni hai ke doosre ko mera point of view bhi samajh aa jaye aur main ghusse main sharminda hone wale alfaaz bolne se bhi ruk jaoon..aur yakeen jaaniye..us ke baad se aaj tak.ghussa hone ke baad main sharminda nahi hui..haan galti bhi hui kabhi.par bohot kam..
INSHAALLAH aainda bhi ye galti nahi hua kare gi..
Same problem with me..... :/
gussy me bs fer.....
Re: ShArE yOuR pErSoNeL eXpErIeNcEs!!!
Walaikum Assalam
aik tou larki tumhay research karnay ka bara shoq hai,
bahar hal
sab say pehla sabaq,waqt k saath saath rishtay,taluq aur log sab hi badal jatay hain
dosra jo aaj aapk pass hai anay walay waqt main nahi rahay ga,
tesra logon ki qadar unki zindagi main unki aapk pass mojodgi main karna chahiye,unk janay k baad sirf pachtaway aur yaadain reh jati hain,
chotha sabaq,zindagi main sukoon ki khatir apna haq bhi chorna paray tou chor do,kiyun k aap jitna choro ge uska double aapko wapas milay ga.
aur panchwa sab say eham,,,,,,,,,,,adhoray khuwab,khawahishain aur tamnain dasti bohat hain..........bohat kasak deti hain...!!!
Re: ShArE yOuR pErSoNeL eXpErIeNcEs!!!
Quote:
Originally Posted by
Mamin Mirza

Readin kar ke bohot kuch seekhne ko milta hai. daikha na.aap ne kaise ache experiences share kiye hain..kaam k..
Re: ShArE yOuR pErSoNeL eXpErIeNcEs!!!
zindagi main mera doosra imporatant sabaq tha ..moaaf karna..BOHOT hi mushkil se seekha main ne ye moaaf karna..kion ke ghussa jab tak tha tab tak moaaf karne ko jee hi nahi chahta tha.ajeeb dil main kabh nafrat toh kabhi narazgi toh kabhi moonh banaye rehne ki tabiyat hua karti thi..par main dil main sakoon main nahi thi..kion ke jo insan kisi ko moaaf nahi karta..wo khud ghusse ki aag main jalta rehta hai.kisi ka kuch nahi jata..phir main ne socha ke main ab aisa karoongi ke kisi ko bhi 3 dafa koi bhi aik ghalti baar baaar karne pe laazmi moaaf kar dia karoongi..magar agar is se ziada dafa koi apni ghalti repeat kare ga toh mere paas uske liye koi moaafi nahi hai..main ne aisa hi kia..lougon ko moaaf karna shroo kar dia..ziada tar aisa hi hua ke lougon ne wo ghalti do ya teen dafa se ziada repeat hi nahi ki.par jin logon ne wo hi ghalti jo mere liye na qaabil-e-qubool thi bar bar ki .mujhe unko samajhna main aasaani ho gai.aur main araam se realize karne lagi ke these persons are not of my type..bas phir thora faasla rakhna shroo kar dia hai main ne aise logon se..naraaz hone se,,jhagra karne se, nafrat karne se ya rooth kar baith jane se behtar hai ke insan reserve hona seekh le..aur moaaf karna seekh le..
Re: ShArE yOuR pErSoNeL eXpErIeNcEs!!!
3rd Thing I learned
teesri sab se ehem baat jo main ne seekhi wo ye ke insaan koi bhi ho..chahe main,,chahe aap,,chahe hamara koi ..har insan ki fitrat main ghussa karna..kabhi badla lena..ya kabhi mohabbat ka jawab mohabbat se na de kar narazgi ka izhaar karna, ya kabhi jo hamare paas hai, wo kisi doosre ko na de kar apni narazgi ka izhaar karna ye sab insaan ki fitrat main hai..magar insan aik baat bhool jata hai..aur apne aap ki soch pe apni harkatoun pe dhayan nahi deta..aur apni haqeeeqat ko kabhi nahi pechaanta..
iske liye zaroori hai ke apni haqeeqat agar jaan na hai toh apni soch ko us waqt daikho jab tumhain ghussa aa raha ho..yakeenan ya toh ham badla lene ke liye, ya ghussa show karne ke liye, ya doosre insan ko uski asliyat jataane ke liye us naimat ko dene se inkar kar dainge jo hamare paas hai aur uske paas nahi.ya us hi naimat ka muqaabla us ke aur apne darmyaan karainge..ya gharoor karainge toh us hi cheeez pe..ye nahi sochain ge ke ALLAH paak ne toh hamain zindagi ki naimat se nawaza hai.agar wo naimat insan ke hath main dei hoti toh ham toh jis pe ghussa hain us se jeene ka haq bhi cheen lete..wo rizq jo ALLAH paak ke hath main hai, hamare hath main hota toh ham wo rizq hi tang kar dete..yakeenan is soch se hamain apni soch ke abtar hone ka eshaas bohot ache se ho jata hai..bas zaroorat is baat ki hai , ke ham apne sath sach bolain..aur dil ko chota hone se bacha lain.aur shaitaani awaamil ko jitna mumkin ho khud se door rakhain..