Wasi Shah Poetry | Wasi Shah Poetry Collection
Kash Main Tere HasEEn Haath Ka Kangan Hota
Tu Bare Piyar Say Chaao Sey Bare Maan Ke Sath
Apni Nazuk Si Kalaai Mein Charhati Mujh Ko
Aur Bay Taabi Say Furqat Ke Khizaan Lamhom Mein
Tu Kisi Soch Mein Dobi Jo Ghomati Mujh Ko
Main Tere Hath Ki Khushboo Say Mehak sa Jata
Jab Kabhi Mood Mein Aa Kar Mujhe Choma Karti
Tere Hontoon Ki main Hidat Say Dehak Sa Jata
Raat Ko Jab Bhi Tu NEEndon Ke Safar Par Jati
Mar-Marein Hath Ka Takiya Banaya Karti
Main Tere Kan Say Lag Kar Kai Batein Karta
Teri Zulfon ko Tere Gaal Ko Choma Karta
Jab bhi tu band-e-qaba kholne lagti janan
Apni ankhon ko tere husan se khaira karta
Mujh Ko Bey Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha
Main Teri Rooh Ke Gulshan Mein mEEhakta Rehta
Main Tere Jism Ke Aangan Mein Khanakta rehta
Kuch Nahi To Yahi Be Naam Sa Bhandhan Hota
Kash Main Tere HasEEn Haath Ka Kanghan Hota
By وصی شاہ
Re: Wasi Shah Poetry | Wasi Shah Poetry Collection
Baandh lein haath pe, seene pe sajaa lein tum ko
jee mein aata hai ki taaveez bana lein tum ko.
Phir tumhen roz sanwaaren, tumhen badhta dekhen
kyon na aangan mein chambeli sa laga lein tum ko.
Jaise baalon mein koi phool chuna karta hai
ghar ke guldaan mein phool sa saja lein tum ko.
Kya ajab khwaahish uthti hain humare dil mein
kar ke munna sa, hawaaon mein uchhaalen tum ko.
Iss qadar toot kar tum par pyaar aata hai
apni baahon mein bharen maar hi daalen tum ko.
Kabhi khwaabon ki tarha aankh ke parde mein raho
kabhi khwaahish ki tarha dil mein bula lein tum ko.
Hai tumhare liye kuchh aisi aqeedat dil mein
apne haathon mein dua sa utha lein tum ko.
Jaan dene ki ijaazat bhi nahin dete ho
warna mar jaayen abhi mar ke manaa lein tum ko.
Jis tarha raat ke seene mein hai mahtaab ka noor
apne taareek makaanon mein sajaa lein tum ko.
Ab toh bas ek hi khwaahish hai kisi mod par tum
hum ko bikhre hue mil jaao, sambhaalen tum ko. !!
By وصی شاہ
Re: Wasi Shah Poetry | Wasi Shah Poetry Collection
Re: Wasi Shah Poetry | Wasi Shah Poetry Collection