-
Imkan
Imkan
Gali main faqeer nay sada lagaee:
“Sohnay Allah day naam da”
Mahboob kay sath sohna ka sabqa yaqenun dil moh kar lay giya. Os nay jaieb main hath dala aur chand siky faqeer kay hath par rakh diay. Is feal say ossay dili sakoon mayassar aaya.
Chand lamhoon kay baad ossay sharmindgi hoee. Sara itmanan gharat ho gi giya.
Sohany maboob kay naam par chand seky?!
Is naam par to hazaroon zindgiyaan nishawar ki ja sakti hain. Kiya is saqay kay hawala say kuch dana imkan main hai. Lainay walalay ka daman lainay ka motahamal ho sakta hai?!
Na kuch diya ja sakta hai
aur
na lainay wala lay sakta hai. Haan mostaheq samjh kar kuch day daiyna aur lay laina imkan main hai.
-
Re: Imkan
Assalam o Alaikum.Barhaq o Beshak,Haqq Sach..Os RABB REHMAN ki Be Panah Nemato k shukarane mai Insaan Tamam umr sajda ki halat mai bhi rahe(Jo k Na Mumkim hai) phir bhi Insaan khalik o Malik ka Zara barabar Bhi Shukar Ada Nahe kar sakta or Os La Mehdood Zaat Ka Ek Mehdood sa Insaan Kahaan Shukar ada kar sakta hai...!!!
-
Re: Imkan
shukarriya janab
Allah aap ko hamaisha asanioon main rakhe