PDA

View Full Version : Peer-e-Kamil se iqttibaas paish-e-khidmat hai...



Admin
09-16-2014, 06:35 PM
Peer-e-Kamil se iqttibaas paish-e-khidmat hai...Dr. Sayyad Sabat Ali shukar k baray main bat kar rahay thay..."insan apni zindagi main bohat sai nashaib-o-faraz sai guzarta hai...kabhi kamal ki bulandiyoon ko ja chuta hai aur kabhi zawal ki gehraiyoon tak ja pohnchta hai... sari zindagi woh inhi doo entahaooon k darmiyan safar karta rehta hai...aur jis rastay per woh safar karta hai, woh shukar ka hota hai ya na-shukri ka. kuch khush qismat hotay hain..woh zawal ki taraf jain ya kamal ki taraf sirf shukar k rastay per hi safar kartay hain... kuch aisay hotay hain jou sirf na shukri k rastay per safar kartay hain, chahay woh zawal hasil karain ya kamal aur kuch aisay hootay hain jou in doonoon rastoon per safar kartay hain...kamal ki taraf jatay howay shukar k aur zawal ki taraf jatay howay na shukri k.... insan Allah ki un gint makhluqat main sai aik makhluq hai... ashraful makhluqat hai magar makhluq hi hai...woh apnay Khalaq per koi haq nahi rakhta....sirf farz rakhta hai....woh zameen per aisay kisi track record k saath nahi utara gia k woh Allah sai kisi bhi cheez ko apna haq samjh kar mutalba kar sakay... magar is k bawjood is per Allah nai apni rehmat ka aghaz jannat sai kia...is per naymatoon ki barish kar di gai...aur is sab k badlay is sai sirf aik cheez ka mutalba kia gia...shukar ka.... kia mehsos kartay hain aap! ager aap kabhi zindagi main kisi per koi ehsan karain...aur woh shaksh is ehsan ko yaad rakhnay aur aap ka ehsan mand hoonay ki bajaiy aap ko un mawaqay ki yaad dilaiy, jab aap nai us per ehsan nahi kia tha ya aap ko yeh jataiy...k aap ka ehsan us k liay kafi nahi tha... ager aap us k liay "yeh" kar daitay ya "woh" kar daitay tou ziyada khush hoota...kia karain gaiy aap aisay shaksh k saath? doobara ehsan karna tou aik taraf aap, aap tou shaid us sai taluk rakhna tak pasand na karain...