PDA

View Full Version : chaman main rang-e-bahar utra to main ne dekha



Ali_
09-15-2014, 05:50 PM
chaman main rang-e-bahar utra to main ne dekha
nazar se dil ka gubar utra to main ne dekha

main nim shab azma k hasrat ko dekhta tha
chaman main wo husn zar utra to main ne dekha

khumar mai thi wo chehra kuch aur lag raha tha
dam-e-sahar jab khumar utra to main ne dekha

gali k bahar tamam manzil badal gaye the
jo saya ek ku-e-yar utra to main ne dekha

ik aur dariya ka samna tha 'Munir' mujh ko
main ek dariya k par utra to main ne dekha

KhUsHi
11-07-2015, 12:09 AM
بہت اچھی اور لاجواب شیئرنگ کا شکریہ