PDA

View Full Version : raushan kahin bahar k imkan huye to hain



Ali_
09-13-2014, 07:11 PM
raushan kahin bahar k imkan huye to hain
gulashan main chak chand gareban huye to hain

ab bhi khizan ka raj hai lekin kahin kahin
goshe rah-e-chaman main gazal-khwan huye to hain

thahari huyi hai shab ki siyahi wahin magar
kuch kuch sahar k rang par-afshan huye to hain

in main lahu jala ho hamara k jan-o-dil
mahfil main kuch chirag farozan huye to hain

han kaj karo kulah k sab kuch luta k ham
ab be-niyaz-e-gardish-e-dauran huye to hain

ahal-e-qafas ki subah-e-chaman main khulegi ankh
bad-e-saba se wada-e-paiman huye to hain

hai dasht ab abhi dasht magar khun-e-pa se "Faiz"
sairab chand khar-e-mugelan huye to hain