PDA

View Full Version : kyun mera dil shad nahin



Ali_
09-13-2014, 07:05 PM
kyun mera dil shad nahin hai kyun khamosh raha karta hun
choro meri ram kahani main jaisa bhi hun acha hun

mera dil gamgin hai to kya gamgin ye duniya hai sari
ye dukh tera hai na mera ham sab ki jagir hai pyari

tu gar meri bhi ho jaye duniya k gam yun hi rahenge
pap k phande, zulm k bandhan apne kahe se kat na saknge

gam har halat main mohlik hai apna ho ya aur kisi ka
rona dhona, ji ko jalana yun bhi hamara, yun bhi hamara

kyun na jahan ka gam apna len bad main sab tadbiren sochen
bad main sukh k sapne dekhen sapnon ki tabiren sochen

be-fikre dhan daulat wale ye akhir kyun khush rahte hain
inka sukh apas main banten ye bhi akhir ham jaise hain

ham ne mana jung kari hai sar phutenge,khun bahega
khun main gam bhi bah jayenge ham na rahen, gam bhi na rahega