PDA

View Full Version : kab yad main tera sath nahin kab hath main tera hath nahin



Ali_
09-13-2014, 06:59 PM
kab yad main tera sath nahin kab hath main tera hath nahin
sad shukr k apni raton main ab hijr ki koi rat nahin

mushkil hain agar halat wahan dil bech ayen jan de ayen
dil walo kucha-e-janan main kya aise bhi halat nahin

jis dhaj se koi maqtal main gaya wo shan salamat rahti hai
ye jan to ani jani hai is jan ki to koi bat nahin

maidan-e-wafa darbar nahion yan nam-o-nasab k puch kahan
ashiq to kisi ka nam nahin kuch ishq kisi ki zat nahin

gar bazi ishq ki bazi hai jo chaho laga do dar kaisa
gar jit gae to kya kahna hare bhi to bazi mat nahin

KhUsHi
11-07-2015, 12:00 AM
بہت اچھی اور لاجواب شیئرنگ کا شکریہ