PDA

View Full Version : kab tak dil ki khair manayen, kab tak rah dikhaoge



Ali_
09-13-2014, 06:59 PM
kab tak dil ki khair manayen, kab tak rah dikhaoge
kab tak chain k mohlat doge, kab tak yad na aoge

bita did ummid ka mausam, khak urti hai ankhon main
kab bhejoge dard ka badal, kab barkha barasaoge

ahad-e-wafa aur tark-e-muhabbat jo chaho so ap karo
apne bas k bat hi kya hai, hamse kya manwaoge

kisne wasl ka suraj dekha, kis par hijr k rat dhali
gesuon wale kaun the, kya the, un ko kya jatlaoge

'Faiz' dilon k bhag main hai ghar basana bhi lut jana bhi
tum us husn k lutf-o-karam par kitne din itraoge