PDA

View Full Version : garmi-e-shauq-e-nazara ka asar to dekho



Ali_
09-13-2014, 06:55 PM
garmi-e-shauq-e-nazara ka asar to dekho
gul khile jate hain wo saya-e-dar to dekho

aise nadan to na the jan se guzarnewale
nasiho, rahbar-o-rahguzar to dekho

wo to wo hain tumhen ho jayegi ulfat mujhse
ek nazar tum mera mahbub-e-nazar to dekho

wo jo ab chak gareban bhi nahin karte hain
dekhanewalo kabhi un ka jigar to dekho

daman-e-dard ko gulzar bana rakha hai
ao ek din dil-e-purkhun ka hunar to dekho

subah ki tarah jhamkata hai shab-e-gam ka ufaq
"Faiz" tabindagi-e-dida-e-tar to dekho