PDA

View Full Version : Imam e azam abu hanifa ka ilmi muqaam



Arosa Hya
09-07-2014, 02:16 PM
Imam e azam abu hanifa ka ilmi muqaam aur mohaddiso ka bayan ..

Imam abu hanifa R.A

Imam,parhezgaar aalim ba amal ibadat guzar aur bade martabe wale the...
Tazkiratul huffaz..168/1
Ek jagah imam zehbi naqal karte hai mohaddis abu dawood ne farmaya...
K Allah abu hanifa R.A par rehem kare k wo imam the..
Tazkiratul hufaz..169/1..Allama sewti ne tabeezul saheefa likha hai
Us mei khalf bin ayyub se naqal kiye hai k...
ILM ALLAH KI TARAF SE AAP SALLAL LAAHU ALAIHI WASALLAM KI TARAF AAYA...
FIR SAHABA KI TARAF
FIR TABAEEN KI TARAF.
FIR ABU HANIFA AUR AAP K ASHAAB KI TARAF...
Abu hanifa wa ashaba.9Abdullah bin dawwood al harbi ne farmaya..Ahl e ISLAMper zrori hai k wo apni namaz maiABU HANIFA R.A k liyye dua krain.
Phir unhon ne IMAM ABU HANIFA R.A kk us karnamy ka zikar kia
k HADEES O FIQAHko mehfooz WA MADOON kia...
tehzebul kamal...422/29..Makki bin ibrahim bin shaddad bin hakeem ne farmaya
IMAM ABU HANIFA REH APNE ZAMANE K SAB SE BADE AALIM THE..
taarikh e baghdad..345/13..Yazeed bin haroon mohaddis farmate hai..Mei ne ek hazar aadmiyo se mulaqat ki aur un mei aksar se hadees likhi...
Lekin 5 hazraat se zyada fiqah mei ilm aur taqwe mei kisi ko nahi dekha aur in 5 mei awwal number par IMAME AZAM ABU HANIFA R.A hai.
jameul ilm.29/1
Tehzeebul kamal439/29..Imam abu yusuf ne farmaya
Mei jab bhi kisi hadees ki taraf maaeel hota to abu hanifa reh ko saheeh hadees k baare mei apne se zyada saahibe baseerat pata..
Taarikhe baghdad...340/13Imam sho'ba na farmaya ...
Abu hanifa R.A jayyed ul hifz the...
Al kheratul hisan bahawala muqaddam alaus sunan...198/1..Mohaddis abdullah bin dawood farmate hai...IMAM ABU HANIFA R.A K BAARE MEI LOG DO TARAH K HAI...YA TO AAPKE MAQAM SE NAA WAKIF HAI
YA TO AAP SE HASAD KARNE WALE HAI...
tehzeebul kamal..441/29
Tehzeeb at tehzeeb..450/10...AUR BHAI BOHOT SI KITABE MOHADDISO NE AAPKE FAZAIL HI PAR LIKHI
JESE..
imam ibne abdul bar maliki ne ..ALINTIQA..IMAM IBNE HAJAR MAKKI SHAFAYI NE ..AL KHERATUL HISAN...IMAM SEWTI SHAFAYI NE TABEEZUS SAHEEFA..
IMAM ZEHBI NE ..EK JUZO RISALA..
ALLAMA YUSUF SALAHI SHAFAYI NE ...UQUDUL JAMAN FIL MANAAQIBUL NOMAN...\

Forum Guru
09-10-2014, 05:43 PM
Walikum As Salam Bhut Hi Umda Sharing Asi Sharing Jari Rakhein Shukriya