PDA

View Full Version : 19th Aug 2014 ...!!!



CaLmInG MeLoDy
08-19-2014, 11:31 AM
mujhe lagta hai ke, jis tarha ham net use karne ke aadi hote jaa rahe hain, aur ghantoun ghantoun issi main waqt guzaar dete hain, ghar main aur ghar waloun ke sath kia ho raha hai, hamain is ki khabar nahi hoti. wo log hamare sath hansna bolna chahain toh bhi hamare pas waqt nahi, aur bhi bohot si baatain. aap ke khayaal main net use karne ke possitive aspects ke ilaawa negative aspects kia hain?

tricky temi
08-19-2014, 12:14 PM
-ve tb hoga jb hum -ve way ma use kryn gy ......

Mamin Mirza
08-19-2014, 12:35 PM
net using tension k siwa aur kuch nahi
isliye beheri isi main hai k isay waqt e zaroorat hi use kiya jaye
as per my experience

Admin
08-19-2014, 12:39 PM
merey nazdeek.net ka.istemall aik car drive ki tara hy..

ager is ka.istemall ap carefull hu.kr.karey gy tu

bht kuvh ap.seek skte hy.

ager ap is.ka.istemall. us shaks.ki tara karey gy

ji.ko drive.krna.ni.aata tu zahir c bat hy.nuksan tu utnana e parey ga.

net p trust souch samj kr krna chaye..istemall k sath sath

ye mera opnion hy

intelligent086
08-19-2014, 08:10 PM
ایک لمبی اور خوف ناک نتائج پر مشتمل لسٹ جس کے اثرات کچھ عرصے کے بعد بیھانک صورت میں سامنے آئیں گے

Daniel-7
08-19-2014, 10:43 PM
Bhyee Bina net ab 1 din guzarta nahi. Apne hal per kabhi kabhi taras khata hun.

CaLmInG MeLoDy
08-21-2014, 01:13 PM
Bhyee Bina net ab 1 din guzarta nahi. Apne hal per kabhi kabhi taras khata hun.
++same problem here.. araam se sote sote khayaal aata hai ke..us thread main kia reply aaya hoga..ya fb pe update kia hai...aur sakoon kharab..H-r

CaLmInG MeLoDy
08-21-2014, 01:15 PM
ایک لمبی اور خوف ناک نتائج پر مشتمل لسٹ جس کے اثرات کچھ عرصے کے بعد بیھانک صورت میں سامنے آئیں گے


bhayanak soorat toh saamne aati jaa rahi hai..ham sab hamare apnoun se door hote ja rahe hain.hamare familiy ke kids dada dadi ko chor kar games main busy hote hain..bahoo baite waaldain ko chor kar net surrfing main. ye net ka negative aspect hi hai na.

CaLmInG MeLoDy
08-21-2014, 01:16 PM
merey nazdeek.net ka.istemall aik car drive ki tara hy..

ager is ka.istemall ap carefull hu.kr.karey gy tu

bht kuvh ap.seek skte hy.

ager ap is.ka.istemall. us shaks.ki tara karey gy

ji.ko drive.krna.ni.aata tu zahir c bat hy.nuksan tu utnana e parey ga.

net p trust souch samj kr krna chaye..istemall k sath sath

ye mera opnion hy
aap ka opnion theek hai..par pehle suna karte the..ke shaadi aisa laddoo hai ke jo khaye pachtaaye ..jo naa khaaye pachtaaye..mere khayaal se ab net ka use is par bilkul theek baithta hai..

CaLmInG MeLoDy
08-21-2014, 01:17 PM
net using tension k siwa aur kuch nahi
isliye beheri isi main hai k isay waqt e zaroorat hi use kiya jaye
as per my experience
100% agreed..par is ki zaroroat khud ba khud mehsoos hone lagti hai..mere toh khayal hai ke banda addicted hota jaata hia iska. W(

CaLmInG MeLoDy
08-21-2014, 01:22 PM
-ve tb hoga jb hum -ve way ma use kryn gy ......


arre nahi janab...simple aik aspect ke negative aur possitve hone ki baat nahi hai..bara vast topic hai. iske hote..matlab net ke hote log hujoom main bhi akele hain.aur akele hote bhi hujoom main hian..apne hote bhi apna koi nahi.aur sab paraaiye ho kar bhi apne hain..mere apne ghar main.mere bhatije bhatiji abhi maximum 8 yrs ke hain...phir bhi unka dil phupo chachu, dada dadi main nahi ..sirf games main lagta hai. meri apni bhabiyaan unko busy rakhne ke liye computer ki taraf bhaij deti hain..hamara apna dil nahi lag raha hota toh ye khayaal aane ki bajaiye ke ammi abbu se ya ghar ke baqi logon se gap shap kar lain.ye khayal aata hai ke net use kar lain..ajeeb bat hai na..

Admin
08-21-2014, 09:43 PM
aap ka opnion theek hai..par pehle suna karte the..ke shaadi aisa laddoo hai ke jo khaye pachtaaye ..jo naa khaaye pachtaaye..mere khayaal se ab net ka use is par bilkul theek baithta hai..


hmmm lado k bad insaan pachtata e hy so ab hazam krne ki koshihsh kroo ap net waley lado ko lolzz

Mamin Mirza
08-22-2014, 06:57 PM
100% agreed..par is ki zaroroat khud ba khud mehsoos hone lagti hai..mere toh khayal hai ke banda addicted hota jaata hia iska. W(


sahulat ko Zaroorat aur phir zaroorat ko majbori banaya jaye tou banda addicted hi hota hai