PDA

View Full Version : Tafteesh



Hira_Xaleem
07-09-2014, 07:04 PM
1-how are you? aur yahan is hot seat pe baith ke kaisa lag raha hai.
em gud mazy main :) , cool lag rha hai.

2-ye bataiye sab se pehle aap ke zehen main aisa koi sawaal aaya keh kahin ruby ye na pooch lain, agar aisa koi sawal aaya zehen main toh wo sawal kia tha.aur uska jawab kia hoga.
itna confidently answer krna hota tu ap k question p krti na. ab ni poocha tu rehny den. pooch leti tu bta deti :P

3-apni family aur baaqi qareebi logon ke bare main kuch batayain..
mardum shumari 2014 main kahan se a gyi ? NADRA waly muft ID bna k de rhy hain? ya phir ap ny mujhy ghalti se GE0 NEWS k numainda smjh lia hai

4-aap ke friends kitne hain, aur dostoun ko aap apne kis qadar qareeb rakhte hain?
ek dil hai,jis main "Dhak ,Dhak, Dhak" yeh 3 frndz hain jo har sans k sath dharkty hain.jis din in main se ek b beat miss hogi us din unhen apni qadar k andaza ho jayega :)

5-waaldain toh hote hi bohot pyaare hain, par kisi aik ke qareeb ham ziaada hote hain. aap kis ke qareeb ziada hain? ammi ya abbu?
dad k liye unki princess hon. or mom k liye doll :)

6-aap ki age, qualification, feild, aur job se related information?
girls se age pochna buri baat hai >:( , and doing software engineering.

7-aap khud toh zaahir hai apne baare main raaye dena nahi chaahainge, magar apne moonh miyaan mithoo hona chahain toh most welcome. magar apni friends ki nazar main bhi ya baqi logon ki nazar main aap ki over all look kaisi hai?
dost mounh p tareef krty nahi.or main apny mounh miyan mithu banti nahi...tu ap khud judge kr len.

8-khud main aap ko sab se ziaada Allah pak ki di hui naimatoun main se kia pasand hai?(face features).mujhe pata hai agar main is question ko define na karon toh aap toh baal ki khaal utaar lainge..http://www.friendskorner.com/forum/images/smilies/10.gif
ALHUMDULLILAH har cheez.... khubsurti sirf khush shakal hony main ni hoti, kisi k eyes main attraction hoti hai ,kisi k ikhlaq main, bht se ways hain khubsurati ko define krny k liye, isi liye Allah ny bola hai k meri takhleeqat pr ghoor kro.

9-mizaaj ke kaise waaqe hue hain
mizaj mood k sath badalta rhta hai.ya... u can say k nxt person p depend krta hai.

10-adab se koi dilchaspi?
bht zada.prhny k sath sath likhny k shoq b hai.

11-life ko entertain karne ke liye aap ka man pasand mashghala
cricket,wrestling,movies,,dost, poetry,music,fantasy world,thoughts,tanhai,or jb in sub se bore ho jaon tu khawab new hope k liye.aim ko acheive krny k liye.apni inspiration jesa banny k liye.

12-man pasand food and drinks?
juices,shakes, or food mood p depend krta hai.lakin spicy :)

13-bachpan, jawaani ya burhaapa..in main se konsa time period aap ke lehaaz se best hota hai
har phase important hota hai.bachpan main insan seekhta hai,jawani main implement krta hai,or burhapy main apny experiences se dosron ko sekhata hai.

14-insan ko zindagi ke ye phases kaise guzaarne chaahiye define karain, childhood,young age,old age
zindagi ko 3 parts main is liye define kiya gya hai k har part ko alag tarha se jee kr end main jb sum up kren tu difference clear ho. isi liye bht khubsurat line hai k "GEO TU HAR PAL ASE GEO JESE K AKHRI HO" kyu k kia pta k "KAL HO NA HO" or life hai "KABHI KHUSHI KABHI GHUM" tu khubsurti hai iski.khushi btati hai k hum kis k hain or ghum seekhta hai k kon hamara hai.

15-UT par bohot hi mehdood list hai aap ke friends ki.. ..aisa kion?
kyu k jo hain un k hoty hoe mazeed k zrort ni mehsos hoi kabhi.

16-rich, poor, middle class..in teenoun classess ki best and bad characteristics define karain?
class koi bhi ho,achy bury log har jaggah hoty hain, lakin hamesha apny se kam ko dekh k shukkar ada krna chahiye Allah k . Gharoor na kro ya ehsas-e-kamtari k shikar na ho kabhi.kyu k Allah behtar hikmat krny wala hai.Allah ny jo atta kiya us p shukkar ada kro or jo jis k justuju hai us k liye Allah k samny jhooli phelao.

17-farz karain..jabrann(zabardassti) aap ko snow falling main le jaaya jaye. wahan jaa ke coffee ya tea bhi nahi balke soup bhi nahi peene dia jaye.balke aap se kaha jaye ke dhair saari ice cream khaaiye..toh aap kia karainge?
wow :) i love it..to phir kab chalen :P

18-zindagi ke kisi faisle ke waqt pe agar aap ke samne majboori ya sacrifice ka option aa jaye.toh aap konse option ko choose karne waale hain?
wese tu majboori k mtlb sacrifice hota hai or kabhi sacrifice krna insan k majboori hoti hai. depends kab kia important hai :)

19-dressing kaisi hai aap ki? man pasand dress kia hai
occasion k lehaz se.traditional zada,or frndz gathering main westren bhi chalta hai kbhi,

0-zindagi se kia haasil kia? aur kia seekha..
zindagi se bht koch seekha bs ni seekh ski tu zindagi ko.... rhi baat hasil krny ki tu, insan k hirs kabhi khatam ni hoti.zindagi se zindagi bhi hasil kr le tu mazeed k khawahish krta hai.lakin is OR OR k race main apna ap kho deta hai. zindagi ko zroorat smjh k geo.kawahishat insan ko thaka deti hain or sub koch hasil kr k bhi koch ni milta.

mujhy zindagi ny bht se achy or bury experinces ko share krny k liye world best frndz diye hain koch.or un sub experiences ko face krny k liye sweet si family di hai.baqi zindagi ny kaha hai k tum mistakes krti jao main tumhen un mistakes se seekhny k moqa dongi jo tumhen zindagi guzarny k andaz seekahingi :P

Admin
07-09-2014, 07:33 PM
bht acha laga ap k barey mai jaaan kr..


God bless u.. Hira

Ria
07-09-2014, 08:19 PM
Good to know about you....:)

Hira_Xaleem
07-09-2014, 08:21 PM
Haha shukar hai acha hi lga koch bura ni lga . :) thnkx by the way.. Stay blessed. :)

Hira_Xaleem
07-09-2014, 08:23 PM
Thnkx everyone :)