PDA

View Full Version : Roshni Ki Dhaar Par Rakhi Kahani Aur Dukh



Ubaid
11-22-2017, 10:46 PM
Roshni Ki Dhaar Par Rakhi Kahani Aur Dukh
Aankh Se Behta Hua Khamosh Pani Aur Dukh

Mere Kamray Main Usi Tarteeb Se Rakhe Hue Phool
Khat, Waday, Dilasay, Ek Jawani Aur Dukh

Ek Dusre Se Bichar Kar Umar Bhar Rote Rahe
Raat, Sehra, Khushk Pattay, Ek Raani Aur Dukh

Ab Mere Lafzon Main Wo Pehli Si Kaifiyat Nahi
Daal Ab Jholi Main Teri Maherbani, Aur Dukh

Raat Sehra Main Kisi Ne Baansuri Ki Nok Par
Rakh Di Phir Roti Hui Yaadein Purani Aur Dukh...

Ubaid
11-22-2017, 10:46 PM
Aliza; BDunc

BDunc
11-22-2017, 11:05 PM
Khoob

Moona
11-23-2017, 01:11 AM
Nice Sharing
t4s

Aliza
11-23-2017, 03:12 PM
Bht umdah Ubaid