PDA

View Full Version : 3-Hazrat Ghuos ul Azam Dastageer (radi ALLAH'Tala anhu)



CaLmInG MeLoDy
06-18-2014, 01:29 PM
Jab tak Tu apne aap se bahir na hojaye apne nafs aur khwaish aur tabiat ke darwaza ko na chore aur apne Dil ko dehleez me aur baatin ko Badshah ke Huzoor me maqaam e khalwat me na chor de tera kalam karna sahi nahi zaban na hila. Awwal buniyad ko mazboot kar pas jab isko mazboot karlega to tameer ki taraf dor. Buniyad kiya hai Deen ke muttaliq feham aur ilam hai magar dil ka ilam o feham tujhe ALLAH TALA ke qareeb le jaayega aur zaban ka ilam o feham Makhlooq aur Duniya ke badshaho ke qareeb le jaayega . Dil ka ilam o feham ALLAH TALA ke qurb ki majlis ka sadar nasheen banaayega aur tujhe sadar maqaam par ooncha bithaaye ga aur tere qadam ALLAH TALA ki taraf barhaye ga isko akhtiyar kar.

UmerAmer
06-18-2014, 02:47 PM
Jazak Allah