PDA

View Full Version : Marks Mania!!



Arosa Hya
02-20-2016, 02:38 AM
Aadab!

Hmary han ma'sharti masyil mai aik aham masla "Marks Mania" b hai. Jis ne pehly se naqas taleem k talib students ko mazeed zehni inteshar aur be-skoni mai jakra hoa hai !

Is ka sehra sb se phly NADAN Waldain k sar jata hai
Jo bachpan se us k dimagh mai apni khwahishain dalny lgty hain Doctor ,engineer, officer ,blah blah blah !!!

Hala'n k priority ye hona chahiye k pehly osy itna mature to hony dain k apni dilchaspi k subject chun sky phir bkhushi us pe kam kray to uski professional skills uska passion uski kamyabi ka bayis ban sky ga.
Hmary han bachon ko pressurize kia jata hai
"Parho Parho Parho"
Kia parho, kis treeqy se parho ,kis tra behtar hai
ye ku nhi sikhaya jata?
Ap aik dilchasp cheez ko us k zehn pe boj bna kr swar kr dety hain phir chahty hain k wo bakhushi ye kam kry !!
Aur phir marks mania
"Marks Mania" ka lafz mai ne is liye istemal kia
k hmary han sb result students k din raat preshan kr deta hai
Aur gar waly, muhally k log, rishtedar sb aisy pochty hain jesy tak mai laga carnivore .... aur marks kam ya fail hony pe tanz kr k usy zehni inteshar mai mubtla kr dety hain.
Ary Bayi kis ne keh dia ap se k fail hony ya marks km hony waly bachy na-laiq, kund-zehn ya low IQ hoty hain ?
No !!
Keep in mind
"Marks never ever decides that how much knowledge or talent you have"
Fail hona b experience hai it's ok but that never means that you are nill and mentally sick !
Intehayi afsos k sath ! Boht se students in tano k khof se khudkushi tak krny ka sochty hain even kuch kr b lety hain marks km ya fail hony per!
Har saal mcat ka test more than 50,000 students dety hain magar total seats just 3000 hain. Ab seats sbko nhi mil skten behtreen marks or talented hony k bawjood unhain isi baat ka khof hota hai k ab sb yehi smjain ge k medical college mai admission nhi hoa to mai na-laiq hon aur i think 2007 ya 2008 mai kuch students ne is pe khudkushi b ki. Is k ilawa b boht se cases even graduation/ master level k well matured log b is depression ka shikar ho kr mayos ho jaty hain.

How pathetic !!
Let me say How selfish and cruel we are
Generation after generations we haven't changed our thoughts!

For God sake!
Don't make Education a mean to achieve money & Fame, ultimately
Let them know themselves and find their ways and goals without stress of years on their soft brains!
Don't make education a hell for them !
Listen !
Our society don't appreciate all talents but only a few
Let them make their place with a noble identity
Hum ku dolat aur shuhrat k liye aik bachy ko mutaqil pressurize kr dety hain? Har insan mai salahyatain posheda hoti hain. Hmari society mai boht km bachy hain jo slow learning krty hain baqi k dimagh taleem naam k boj taly dab jaty hain halan k wo chezon ko intehayi behtreen treeqy se kr skty hain.

Kisi parent ko kbi apni bachy ko force nhi krna chahiye
Parho parho parho
Nhi , Ap un mai dilchaspi paida krain, unhain parhy ka treeqa sikhayen, mumkin ho to khud hi parhayen, unki her choti effort pe hosla afzayi krain, unhain us andaz mai parhny dain jesa unhain pasand ho, unhain tokty na rahain aur kbi unhain marks kam hony pe na marain balky wja talash krain k uski kia weakness hai taky us kami ko dor krny mai uski madad kr skain!

Kisi rishtedar, dost, parosi ko qatan ijazat na dain k ap k bachy k taleemi ma'amlat mai dakhal de . Unhain koi haq nhi k osy tanz krain ya mayosi mai dhakailain. Na to unhon ne tuition dena hai na uski fees ada kra hai so apny kam se kam rakhain.
Ap k liye apny bachy ki shakhsiyat apny fakhar aur khwahishon se zyada aham hona chahiye!
Apny bachon ko kbi unka mustaqbil tareek kr k na paish krain
k taleemi asnaad hi akhri seerri hain jin pe chal k tum uhdy aur dolat k aasman tk pohanch skty ho. aur agar ye seerhi na teh ki to tumhari zindagi achi nhi guzry gi.
Nhi ! Usy jan-ny ka moqa dain. uski shakhsiyat ko aisy khof se masakh na krain nikharny dain warna wo degrees k anbar laga b le to b us mai job k liye professional skills nhi hon ge aur phir hum waqt se, mulk se, halat se gharz jis jis pe moqa mily apni nakamiyoun ka shikwa krty hain, ilzam dal dety hain !

Unhain insaniyat sikhny dain
Ilam sikhny ka farz ada krny dain
Rizq ka wada Uska hai
Wo har kisi ko mil raha hai aur mil kr rahy ga
Aur achy insan ko zyada behtar treeqy se !!

Is umeed pe ikh rahi hon:
Shayad k utar jaye tery Dil mai meri Baat !

khush rehye
Fe aman ALLAH

intelligent086
02-20-2016, 03:17 AM
اگر حالات ساز گار رہے تو انشاءاللہ اسپر مدلل اور مفصل جواب دوں گا
فی الحال
اچھی سوچ کی عکاسی ہے ۔ خوب صورت تحریر

CaLmInG MeLoDy
02-20-2016, 08:19 AM
Hmm. Indeatail baat ki gai tehreer. Magar sad afsos k isi behti ganga main sabhi shoq se hath dho rahe hain

Mamin Mirza
02-20-2016, 11:07 AM
hmmmmmmmmmmmm
thanks for sharing................!!

Rana Taimoor Ali
02-20-2016, 11:12 AM
Bohat he acha topi hai aur kafi detail se baat ki hai
mera Question hai?
1. Ye tehreer as a writer likhi hai? chahye new writer ya aise he kuch ?

ek video Amir khan ki share kr raha ho is se related

<font size="5">
https://www.youtube.com/watch?v=OcrFIYYRMDM

muzafar ali
02-20-2016, 11:15 AM
hmmm

Arosa Hya
02-20-2016, 01:20 PM
Bohat he acha topi hai aur kafi detail se baat ki hai
mera Question hai?
1. Ye tehreer as a writer likhi hai? chahye new writer ya aise he kuch ?

ek video Amir khan ki share kr raha ho is se related

<font size="5">
https://www.youtube.com/watch?v=OcrFIYYRMDM



tehreer nhi just highlight krny ki koshish ki taky apna message convey kr skon !
aur sath agar koi misconcept hai to yahan correction ho jaye

video open nhi hoi

Rana Taimoor Ali
02-20-2016, 03:20 PM
tehreer nhi just highlight krny ki koshish ki taky apna message convey kr skon !
aur sath agar koi misconcept hai to yahan correction ho jaye

video open nhi hoi

hmm thek hai wese ap ne message achi tarah se convay krdiya hai

https://www.youtube.com/watch?v=OcrFIYYRMDM
ye link hai os video ka copy kr k new tab mai open krsakti ho

Arosa Hya
02-20-2016, 08:13 PM
hmm thek hai wese ap ne message achi tarah se convay krdiya hai

https://www.youtube.com/watch?v=OcrFIYYRMDM
ye link hai os video ka copy kr k new tab mai open krsakti ho


infact mai yehi point convey krna chahti hon
we must change our thoughts
thank u for sharing it

Arosa Hya
02-20-2016, 08:20 PM
Hmm. Indeatail baat ki gai tehreer. Magar sad afsos k isi behti ganga main sabhi shoq se hath dho rahe hain

not all know we are not included at least mai apni family mai kis bachy k sath aisa nhi hony don gi

Arosa Hya
02-20-2016, 08:21 PM
اگر حالات ساز گار رہے تو انشاءاللہ اسپر مدلل اور مفصل جواب دوں گا
فی الحال
اچھی سوچ کی عکاسی ہے ۔ خوب صورت تحریر



shall wait for it !
in sha ALLAH

FlashPro
02-20-2016, 10:48 PM
panch rupay tu nai per pachees rupay tu aa hee gaey Aaloo

Veedoo
02-20-2016, 11:14 PM
acha topi hai aur kafi detail se

Rana Taimoor Ali
02-20-2016, 11:14 PM
panch rupay tu nai per pachees rupay tu aa hee gaey Aaloo

kya kehna chahte ho janab idher education ki baat horahi aur ap sabzi ki dukan khol rahe ho jis topic er baat horahi hoti odher tak he raha karen

FlashPro
02-21-2016, 12:30 PM
kya kehna chahte ho janab idher education ki baat horahi aur ap sabzi ki dukan khol rahe ho jis topic er baat horahi hoti odher tak he raha karen
ap zahen per zada zor na dalo, related post hee thi