PDA

View Full Version : Waaldain...!!!

CaLmInG MeLoDy
01-28-2016, 08:44 AM
Assalam o Alaikum

Aj raat koi 3 ka time hoga. Time ka andaza mujhe isliye hua q k aankh khulte sath hi main ne waqt dekha. Ab apsab ko aankh khulne ki waja bataati hoon. Neend main mujhe mehsoos hua ke koi ghair mehsoos andaaz main mere kaandhe ki taraf se lehaaf ko orhaa raha hai. Is ghair mehsoos andaz ko neend main main ziada mehsos nahi kar saki. Phir mujhe waazeh mehsoos hua ke mere lehaaf ke oopar mazeed koi blanket ya shayad lehaaf daala gaya hai. Mujhe ehsas hua ke ye koun hai. Na main choti si bachi hon. Na hi bimar . Phir mujhe itni hifazat koun de raha hai. Sath hi gala khankhaarne ki awaaz ai. Mera dil tez tez dharakne laga. Q k wo koi aur nahi. Meri waalda theen. Ye mohabbat. Unsiyat. Chahat hamain parents ke ilawa koi aur de hi nahi sakta. Jab ke humara farz hai ke ye unsiyat hum unpe nichawar karain.
Mujhe yaad aya phir ke aj market se wapsi par mere pyaare abbu mere liye pastry bhi toh le aaye the. Jese kisi nanni minni bachi ke laad uthaa rahe houn. Kia hum apne waaldain ki zarooryaat ka khayal unke bataaye baghair nahi kar sakte.?

Mamin Mirza
01-28-2016, 10:45 AM
وعلیکم اسلام
ہم اپنے اماں ابا کی ضروریات کا خیال بعض اوقات ان کے بتانے پر بھی نہیں کر پاتے
ہاں۔۔۔بےشک ماں باپ ہی ایسے خیال کرنے والے ہوسکتے ہیں

Rohail
01-28-2016, 03:04 PM
وعلیکم اسلام
ہم اپنے اماں ابا کی ضروریات کا خیال بعض اوقات ان کے بتانے پر بھی نہیں کر پاتے
ہاں۔۔۔بےشک ماں باپ ہی ایسے خیال کرنے والے ہوسکتے ہیں
Unwan pe to bad maen bat karonga. Pehle ye batao mirza ji. Ye jo muttar mutter dekhe hai. Ye ullu hai k ullu ka ......... jo bhi hai. Bohat fit hei

Rohail
01-28-2016, 03:06 PM

:P ...

Sach kaha. Aisa koi ni ho sakta.

Mamin Mirza
01-28-2016, 05:18 PM
Unwan pe to bad maen bat karonga. Pehle ye batao mirza ji. Ye jo muttar mutter dekhe hai. Ye ullu hai k ullu ka ......... jo bhi hai. Bohat fit hei

Luqmay bazi say baz na ana
Ullu nahi hai......ullu ki olad hai yani.......... Samjh jao
Fit hai tabhi lagaya hai :P

intelligent086
01-29-2016, 12:15 AM
انتہائی موزوں تحریر

CaLmInG MeLoDy
01-29-2016, 08:09 PM
وعلیکم اسلام
ہم اپنے اماں ابا کی ضروریات کا خیال بعض اوقات ان کے بتانے پر بھی نہیں کر پاتے
ہاں۔۔۔بےشک ماں باپ ہی ایسے خیال کرنے والے ہوسکتے ہیں

انتہائی موزوں تحریر

JazakAllah. Khush rahain..