PDA

View Full Version : Ghazal: Shola tha jal bujha hoon " Ahmed Faraaz"



Ram Mohan
06-08-2014, 08:51 PM
Shola tha jal-bujha hun havayen mujhe na do
main kab ka ja chuka hun sadayen mujhe na do.

jo zeher pi chuka hun tumhin ne mujhe diya
ab tum to zindagi ke duayen mujhe na do.

aisa kaheen na ho ke palatakar na aa sakun
har bar dur ja ke sadayen mujhe na do.

kab mujh ko aiteraf-e-muhabbat na tha ‘faraz’
kab main ne ye kaha tha sazayen mujhe na do.

Admin
09-14-2014, 10:39 AM
Awsome Sharing Keeo It up bro