PDA

View Full Version : dard minnat kashe-dava na hua



intelligent086
11-12-2015, 12:43 AM
dard minnat kashe-dava na hua
main na acha hua, bura na hua

jamaa karate ho kyon raqibon ko
ik tamaaha hua gila na hua

ham kahan qismat azamane jaayein
tu hi jab khanjar aazma na hua

kitane shirien hain tere lab ke raqib
gaaliyaan khake bemaza na hua

hai khabar garm unke aane ki
aaj hii ghar mein boriya na hua

kya vo namrud ki Khudai thi
bandagi mein mera bhala na hua

jaan di, di hui usi ki thi
haq to yun hai ke haq ada na hua

zakhm gar dab gayaa lahu na thama
kaam gar ruk gaya rava na hua

rahazani hai ki dil-sitaanee hai
leke dil, dil-sitaan rava na hua

kuch to padhiye ki log kehte hain
aaj 'Ghalib' Gazal-saraa na hua