PDA

View Full Version : Ashraf- Ul- Makhlooqaat



CaLmInG MeLoDy
08-11-2015, 11:58 PM
Dunia Main Ashraf Ul Makhlooqaat Ke Naam Se Sab Se Ehem
Eejaad Hai Wo Insan Hai, Par Insan Hai Kya.Kya Dunia Main Aane
Wale Ko Insan Kaha Jaye Ya Phir Insan Ko Bayaan Karne Se Maloom
Ho Ke Insan Kya Hai,

Jism , Rooh, Dil , Saans Aur Khoon Se Zinda Rehne Wala Ye Insan
Darhaqeeqat Kuch Bhi Nahi.Sirf Aik Hukum Hai ALLAH Ka Jab Hukum Hua
Insan Paida Ho Gaya Aur Jab Hukum Hua Insan Fana Ho Gaya, Aankh
Khulne Se Aankh Band Hone Tak Ka Safar Insaaniyat Ka Hai, Baki Toh
Sab Faani Hai.Magar Phir Bhi Insaniyat Kabhi Magroor Kabhi Gaalib,
Kabhi Jazbaati Kabhi Paisa Paisa Karne Wali, Kabhi Gareebi Gareebi
Karne Wali, Kabhi Hansne Wali Kabhi Rone Wali, Kabhi Shukar Guzari
Karne Wali Aur Kabhi Na Shukri Karne Wali, Kabhi Sari Umar Apne
Haal Pe Rote Rehne Wali Aur Kabhi Apni Behtreen Halat Pe Bhi Na
Shukri Karne Wali, Ye Insaniyat Hai, Par Kya Kabhi Ye Socha Gaya Ke
Dar Haqeeqat Insan Hai Kya.

Aik Aisi Rooh Ke Jis Ko Jism Ka Sahara De Kar Dunia Main Zahiri
Soorat Di Gai, Jis Ko Bolne Ko Zuban Ka Sahara, Sunn Ne Ko Kaan Ka
Sahara, Jeene Ko Saans Aur Dil Ka Sahara, Aur Marne Ke Baad Dafan
Hone Ke Liye Bhi Jism Ka Sahara Dia Gaya, Par Agar Dar Haqeeqat
Socha Jaye Toh Haqeeqatan In Sab Cheezoun Ka Wahid Markaz Rooh
Hai..Rooh Hai Toh Ye Sab Hai Warna Ye Sab Bekar Hai.Matti Ka Dhair
Hai, Kabhi Sirf Neend Main Sote Hue Insan Pe Nazar Daaliye Toh Soya
Mara Barabar, Na Usko Hosh Kya Ho Gaya Ya Kya Hone Wala Hai, Na Ye
Hosh Ke Zinda Hoon Ke Mar Gaya .

Roohaniyat Kya Hai, Insan Ka Sirf Rooh Se Naata..Jis Ko Na Khuraak
Ki Khuahish Hai Na Zahiri Cheezoun Ki, Na Khane Peene Se Raghbat Na
Jeene Jaagne Ki Khuahish, Roohaniyat Kuch Is Tarha Ke Kya Pehna,
Kya Khaya, Kya Hai , Kya Nahi Hai, Sehat Mand Hoon Ya Bimar, Jaagti
Aankhoun Main Soya Hua..Ya Soye Hue Main Jaagi Aankhain , Dil Ki
Dharkan Main Sirf Wahid Zaat Ka Zikar Ya Kisi Bhi Zikar Se Be
Niyaz, Subh Dopeher Sham , Dhalta Waqt,Dhalti Umar Ye Sab Baatain
Roohaniyat Main La Pata Hoti Hain, Phir Bhi Insan Ke Hone Ka Pata
Deti Hain.

Dar Haqeeaqat Rooh Ka Intizar Sirf Mout Hai,Aur Insan Ki Zindagi
Karam Hai, Karam Kya Hai, Acha Karna Bura Karna Ye Karam Hai.Par
Mout Kya Hai..Mout Abdi Zindagi Hai. Jo Bazahir Ham Ko Nazar Nahi
Aa Rahi, Par Hamari Is Dunia Main Aakhri Manzil Aakhri Qadam Mout
Hai. Mout Dunia Main Hamara Khatam Ho Jana Par Abdi Zindagi Main Hamari
Shrooaat Hai, Jahan Hamara Dunia Main Kya Dhara Hamara Mustaqbil
Bane Ga, Par Dunia Daari Main Ham Apna Mustaqbil Sirf Dolat, Paisa
, Shohrat, Makaan, Taaleem Samajhte Rahe, Jo Dunia Main Reh Gaya,
Par Aakhrat Main Hamare Paas Hamari Sari Zindagi Ki Kamayee Na Hamara Ooncha
Makaan Hai, Na Bari Gaari, Na Hamari Dolat Hamare Kaam Aa Rahi Hai,
Na Hamari Shohrat Hamari Gardan Ooncha Kar Rahi Hai, Na Hi Hamari
Mustaqbil Ki Fikar Ne Ham Ko Kuch Dia..Kaam Aaya Toh Sirf Hamara
Karam , Jo Bura Tha Toh Aag Ka Hissa Ban Gaye Aur Karam Acha Tha
Toh Hamari Soch Se Bhi Balatar Naimatain Hamare Intizar Main Hain,
Na Hamain Sochne Ki Fikar Hai Na Jeene Ka Maqsad Chahiye.

Kya Zahir Hua Is Sab Se Ke Insan Kya Hai..Zahir Hua Ke Insan Kuch
Bhi Nahi Hai.Sirf ALLAH Ki Raza Hai.Aur ALLAH Ki Raza Kya Hai..Sirf
Aik Naik Insan.Warna Insan Khak Hai..Is Dunia Main Bhi Aur Bure
Karam Ki Waja Se Aakhrat Main Bhi Khaak Hai..Raakh Hai.Kya Insan Ka
Maqsad Sirf Khak Hona Hai.Kya Insan Ka Maqsad Sirf Rakh Hona Hai.Dunia Ke
Bare Bare Mazahib Bhi Insan Ko Khak Hone Se Rakh Hone Se Bacha Nahi
Sake.Kya Hamare Aamaal Bhi Hamare Kaam Nahi Aaye Ge..Ye Kaise Ho
Sakta Hai Ke Hamare Aamaal Bhi Hamare Kaam Nahi Aayen.Kya Insan Ka
Zehen Ye Qabool Kar Sakta Hai Ke Uske Apne Hath Se Banaya Gaya Aik
Khilona Bhi Barbaad Ho Jaye, Raakh Ho Jaye, Us Ke Liye Toh Us Ke
Apne Hath Se Bana Khilona Bhi Bohot Qeemti Hai Jis Ko Tootne Se
Barbaad Hone Se Insan Bachata Hai,Aur Agar Toot Jaye Toh Phir
Banata Hai..Toh Insan Toh Khilona Nahi Hai.Aik Jeeti Jaagti Rooh
Hai,Jo Is Dunia Main Khud Ko Barbaad Bhi Karti Hai Aur Tor Bhi Deti
Hai, Par Is Rooh Ka Khaliq Is Rooh Ko Na Barbaad Hone Dena Chahta
Hai Na Tootne Dena Chahta Hai.Sirf Hisaab Kitaab Chahta Hai. Par Ye
Hisaab Kitaab Bhi Kion Hai.

Ham Gour Nahi Karte Par Ye Hisaab Kitaab Bhi Bas Insaaniyat Ke Liye
Hi Hai.Kya Fark Parta Hai Ke Ham Kisi Ka Dil Dukha Dain, Kya Fark
Parta Hai Ke Kisi Ko Maar Daalain..Kya Fark Parta Hai Ke Apne Jism
Ko Aziyat Dain, Kya Fark Parta Hai Ke Bura Karain Sari Umar Bura
Karain, Par Hamare Khaliq Ko Fark Parta Hai , Jo Apne Aik Aik
Banaye Gaye Insan Ki Aik Aik Takleef Se Waqif Hai, Aik Aik Amal Se
Waqif Hai, Kya Ham Sab Us Ke Aage Jawab Deh Nahi?? Ye Insan Hai Ke
Jo Khud Kuch Bhi Nahi Hai..Bazahir Aik Khilona Hai,Par Khilone
Banane Wale Ki Toh Amanat Hai..Phir Kion Insan Amanat Main Khiyanat
Karta Hai.

Baat Sirf Sochne Ki Hai.Warna Ye Zindagi Aur Dunia Kuch Bhi Nahi
Hai..Sirf Amanat Ko Sambhaal Rakhne Ka Makaam Hai.Har Insan Aj Hai
Kal Nahi Hoga.Kabhi Socha Jaye Dhayan Se Toh Kya Rakha Hai
Khudgarzi Main Jeene Main, Logon Ka Dil Dukha Kar Jeene Main, Logon
Ko Naraz Kar Ke Jeene Main, Jhoot Bol Kar Jeene Main, Insan Andar
Hi Andar Khud Sirf Is Khof Main Rehta Hai Ke Main Ne Acha Nahi
Kia..Toh Phir Kya Hasil Hai Khof Main Jeene Main.Kion Na Be Khof Ho
Kar Jiya Jaaye. Is Ko Hansaya, Usko Hansaya, Dil Ko Sakoon Dia Acha
Kar Ke, Rooh Ko Taskeen Di Sakoon Hasil Kar Ke, Gunnah Kya
Hai.Gunnah Rooh Ko Takleef Dene Wala Amal Hai.Yahan Bhi Khof
Ki Takleef Aur Fana Hone Ke Baad Bhi Azaab Ki Takleef. Kya Ham Khud
Ko Takleef Dene Se Rok Nahi Sakte.Rokna Chahiye Khud Ko Apne Nafs
Pe Dabaaow Daal Kar.

Nafs Kya Hai..Kya Nafs Insan Ki Soch Hai.Kya Nafs Shaitaan Ke Kareeb
Tar Hai? Kion Nafs Ko Shaitaan Ke Kareeb Tar Rakha Hua Hai Ke Har
Waqt Behkaaye Main Aa Jata Hai, Kion Nafs Ko Eemaan Ke Kareeb Nahi
Rakha Ke Behekne Se Ruk Jaye,,Sab Ka Sab Kya Dhara Insan Ka Hi Hai.
Kya Ham Apni Aik Ungli Ko Bhi Jalti Aag Ke Kareeb Le Jaaye
Ge..Kabhi Nahi Kion Ke Ham Ko Wo Jalti Aaag Takleef De Gi, Par Ham
Abhi Is Dunia Main Us Jalti Aag Ko Daikh Hi Nahi Rahe Jis Main
Poora Insan Dhakaila Jaye Ga, Aur Soche Samjhe Bagair Shaitaan Ke
Kareeb Hote Ja Rahe Hain.Kya Hamara Self Zabt-e-Nafs Itna Kamzor Hai
Ke Sirf Aik Nafs Ko Control Nahi Kar Sakte.Sab Niyat Ki Bat
Hai.ALLAH Ne Niyat Ko Itni Ehmiyat De Di Hai Phir Bhi Ham ALLAH
Ki Baat Pe Gour Nahi Karte..Ke Har Amal Ka Daar-O-Madaar Niyatoun
Par Hai. Zabt-e-Nafs Ke Liye Hamain Sirf ALLAH Ki Aik Bat Pe
Dhayan Dena Hoga Aur Wo Hai Niyat Pe Dhayan, ALLAH Paak Se Sirf
Niyat Saaf Hone Ki Dua Karo , Aur Aik Lamhe Main Faisla Karo Ke
Abhi Se Ye Galat Kaam Na Karne Ki Niyat Kar Li Hai ,Phir Kaise Na
Ham Apne Zabt-e-Nafs Kar Sakainge.Par Ham Niyat Nahi Karte
ALLAH Ki Baat Na Maan Kar Aur Nafs Ko Shaitan Ke Hawaale Kar
Dete Hain Shaitan Ki Baat Maan Kar. Kitni Bari Badbakhti Hai Ye
Insan Ki.

Insan Is Dunia Main Bas Aik Panapne Wala Pouda Hai, Jis Ko Taaza
Hawa, Taza Pani ,Aur Zarkhaiz Zameen Milti Rahe Toh Panapta Rahe Ga
Aur Phal Wala Darakht Bane Ga,Phal Wala Darakht Na Hua Toh Thandi
Chaaoun Dene Wala Darakht..Darkht Na Ban Saka Toh Logon Ki Aakhoun
Ko Thandak Dene Wala Hara Bhara Chota Se Poda..Aur Poda Bhi Na Ban
Saka Toh Zameen Ko Zarkhaiz Aur Hari Bhari Rakhne Wali Ghaas Hi Ban
Jaye Ga..Toh Bas Rooh Ko Har Haal Main Zarkhaiz Rakha Jaye..Taa-Ake
Aakhrat Bhi Sanwre Aur Haal Bhi Hara Bhara Rahe...