PDA

View Full Version : Roug dil ka

CaLmInG MeLoDy
08-11-2015, 11:46 PM
aaj kuch subha se hi bojhal bojhal pann tha bistar chorne ko jee chah bhi raha tha aur nahi bhi.
hota hai aisa kabhi kabhi, par aj kuch dil bujha bujha sa tha ,socha ke kion na ye sab tumhain bata doon aik tum hi toh ho jis ko main ne sab hamesha bataya hai aur pata nahi kion sab bata kar kar tum ko dil aisa ho jata hai jaise shayad tum is dunia main ho hi iss liye ke tumhain main apni har baat bata ke aise ho jaaon jaise main ne kuch na daikha na suna.aao chalo bahar lawn main chal ke kuch dair baithte hain ye kehte hue maahrukh ne dinning room ki light off ki aur sawaira ka hath pakar kar us ko jaise bare josh se lawn ki taraf khainchti hui le gai...

hahaha!!!
hahaha!!!!

maaha meri toh hansi hi nahi rukk rahi hai ye kia kiya hai tum ne , mujhe aise ghaseete liye ja rahi ho jaise koi maan apne bache ko zabardasti naye school main nai class room main ghaseetti hui liye ja rahi ho aur bacha jane ka nam na le raha ho,,
choro bhi mera hath maha..

sawaira mahrukh ko maaha keh kar pukara karti thi..

bohot pyari raat thi ye halki halki hawa chal rahi thi aur lawn main mukhtalif makamaat pe jalte roshan bulb madham the par un ki roshni bohot hi khoobsoorat thi,, aur is khoobsoorat roshni main maha aur sawaira ke halke gulabi chehre bhi bohot khoobsoorat lag rahe the..

tum toh bohot khoobsoorat lag rahi ho maha is roshni main !!! sawaira ye keh kar dhap se lawn main pari table set wali kursi pe baith gai aur bari shaan se apne paown table ki taraf utha ke rakhne ko barha liye aur apni zulfoun ko hawa ke bikharne ke dar se samaitne lagi...

haaa aaaaaaaaaah..!!!! thandi aah bhari maha ne aur theek sawaira ke peeche ja ke khari ho kar us ke chehre ko pyar se pakar kar boli ALLAH tumhari zaban main aur mithaas de main toh aise alfaaz ke liye taras si gai hoon hone ko toh bohot kuch hai mere pas par mere liye kisi ke pas mithaas nahi hai...

sawaira ne maha ka hath pakar liya aur us ko samne wali kursi ke taraf baithne ke liye dhakail dia..

maha mujhe bataow aakhir noor chahta kia hai !! wo koi faisla bhi nahi kar paa raha aur tumhain bhi apne aasre bitha rakha hai ..tum us se aik dafa saaf saaf baat karti kion nahi ho..shayad wo tumhain apne dil ki sachi baat bata de..

nahi sawaira aisa nahi hai ke main ne noor se kabhi kuch poocha nahi ya us ne kahbi kuch bataya nahi masla toh ye hai ke us ne koi hall bhi toh nahi nikala...mujh pe rehem kar de ya phir us pe..kisi aik pe toh usko taras khana hoga ..

tumhain pata hai sawaira jis aurat ko kisi mard ki zindagi main doosri aurat hone ke naam mill raha ho ya mill gaya ho toh wo naam us ke liye aik taana bana jata hai..kehne ko toh wo doosri aurat zindagi main jeet chuki hoti hai us aadmi ko us ki pehli aurat se par us ki jeet saanvi hi hoti hai aur ye saanvi haisiyat bari takleef deh hai..tumhain nahi pata kabhi main apne dard ko seh rahi hoti hoon aur kabhi us saira ke dukh ko main toh dukh hi seh rahi hoon..

tum nahi janti sawaira bara mushkil aur takleef deh waqt hota hai jab noor saira ke paas hota hai ,us waqt mujhe us saira se itni nafrat ho rahi hoti hai ke dil karta hai us se us ki sari khushi cheeen loon aur kisi na kisi tarha ja ke noor ko bhi wahan se le aaon aur kabhi apne se door na jane doon.

par is ke mutradif jab noor mere paas hota hai main tab bhi sakoon ka saans nahi le paati....tab mujhe ye dard satata hai ke ye mere pas kuch dair ko hi toh hai phir saira ke paas chala jaye ga ya phir kahbi mere andar ki aurat jaag jati hai aur dil ki saari khushi sara josh aur hasad jalan cheen ke le jati hai aur meri haqeeqat mere saamne la khari karti hai,phir mujhe bari aziyat hoti hai jab ye sochti hoon ke main ne aik aurat se us ka haqeeqi sathi cheen liya..na main is mohabbat ka shikar hoti na noor ko apni taraf bulati ..noor ka khayal bhi toh bhatka deta hai mujhe..

sawaira noor bhi toh khush nahi hai..wo kia chahta hai wo ye faisla tak toh kar nahi paa raha phir socho ke joh insan apne faisloun ka hi qaidi ho gaya hai wo mera ya sirf saira ka qaidi kaise reh sakta hai ,,us ko toh ab azaadi ki khuahish ho gai hogi..aise hi toh wo khamosh nahi ho gaya ..aise hi toh wo neend main chonk chonk ke uthne nahi laga..kia us ko bhi dar hai mere ya saira ke us se door ho jane ka??

daikho maha ye baatain tumhare sochne ki nahi hain..........tum aj kal ki dunia ke sath chalo aur aj kal ki dunia ke tour tareeqe seekho , doosroun ki koi nahi sochta hai aj kal apni socho tum kia chahti ho ...kis tarha jeena chahti ho..tumhain sirf tumhara dil ka faisla hi sakoon de sakta hai..youn kab tak be kal raho gi..kabhi gour kia hai tum ne ke tum ko ye uljhe baal sanware kitne dinn ho gaye hain..daikha hai kabhi apni taraf ye ye purr noor chehra tumhare so called noor ki wajha se bujhta ja raha hai..kia tumhari apni koi zindagi nahi hai?? bolo jawab do mujhe....

maha abhi bhi tum ne aankhain nahi kholi toh tumhari aankahin hamesha ke liye band ho jayen gi..koi kisi ke liye nahi marta na hi koi kisi ke sath is dunia se chala jata hai..sab ke sab loug apni taqdeerain apni zindagi mout apne sath laaye hain..tum kisi ki taqdeer ko apne sath zabardasti na toh jour sakti ho na kisi ki taqdeer ko apni taqdeer bigaar kar sanwar sakti ho..bas jeena seekho apne bare main sochna shroo kar do..meri maano gi aur is baat pe amal karo gi toh tumhain phir jeene ka maza aane lage ga..

aahhhhhhhhhhhh..saans bari lambi si li maha ne..zalim mujhe toh kabhi nahi pata tha tum itni pathar dil bhi ho sakti ho sawaira....!!!! chalo tumhari baat maani main poori koshish karoongi khud ko aisa bana lene ki..par tum ko pata nahi hai main bohot koshish kar rahi hoon khud ko mazboot banane ki khud ko pathar dil banane ki..tumhain pata hai main jab khud pe khud ke gusse pe khud ke dard pe jab bari himmat paida kar ke apne dil ko bara housla banane wala banane ki koshish kar rahi hoti hoon na toh ye wehshi dil hi mera sath nahi deta.main apni soch ki raftar ko apne khayalat ki raftaar ko kam kar rahi hoti hoon aur ye wehshi dil meri raftaar se kahin ziada taiz chal raha hota hai....

bataow sawaira aise main main kaise khud pe aur phir is zalim dil pe qaaboo rakh sakti hoon..jab mera dil aur dimagh hi sath nahi dete aik doosre ka toh main kaise kisi aur ka sath de sakti hoon jab ke mera dil majboor hai noor ke sath ke liye aur mera dimagh majboor hai saira ke dil ka gham sochne ke liye..be rabt ho gai hai zindagi........................

haan yaar !!!! ye keh kar sawaira uth khari hui aur maha ko kehne lagi ke ALLAH tum pe aur tumhari halat pe rehem kare main aur kia keh sakti hoon ..chalo ab mujhe bhi dair ho rahi hai ..kuch khud bhi fresh ho jao gi tum drop kar aao mujhe aur issi bahaane ice cream bhi nosh farma lainge..dono ne qehqaha lagaya...aur chal deen...............

market main bara rash tha..khatam hoti sardiyoun ki raatain bohot khoobsoorat hoti hain................kabhi sardi lagti hai toh kabhi mosam bara khushgawaar lagta hai aisa hi sawaira aur maha ko mehsoos ho raha tha dono ne car ko lock kia aur ice cream parlour ki taraf barhi jahan andar dakhil hote hote dono ke qadam rukk gaye....

maha toh jaise shashdar si reh gai aur choroun ki tarha wapas gaari ki taraf rawana hui jaise agar wo ruki toh koi us ki chori pehchaan kar us ko pakar le ga ya phir shayad us ko lougon ke bohot se sawaloun ke jawab dena parain ge.

maha ye kia harkat hai tum is tarha wapas kion lout aayee ho noor tumhara shohar hai koi aashiq nahi ke jis ko us ki biwi ke sath daikha toh tum khud ko chor samajhne lagi mujhe tumhari ye harkat pasand nahi ayee..maha khud ko sambhaalo housle se muqaabla karo sachayee ka...

sawaira plzzzz..tum zara chup ho aur mujhe wapas car main kuch dair araam se saans lene do ...aur plzz ice cream ka order karti aao ham yaheen car main baith kar ice cream kha lainge..maha wapas car main aa kar baith gai aur sawaira ne parlour ke samne khare waiter ko ice cream order kar di aur wapas aa gai..

daikha sawaira tum ne ..ye halat hoti hai meri jab main noor aur saira ko ikhate daikhti hoon ...tum agar socho toh main wahan ja kar baith bhi sakti thi..un ke saamne kisi aur table pe ice cream bhi enjoy kar sakti thi..par sawaira tum socho kitne pathar mujhe dil pe rakhne parte noor ko us ki pehli biwe ke sath baithe daikhne ke liye ..aur phir socho jab noor ne mujhe ghar dia hai ..aish dia hai ...apni biwi hone ka naam dia hai toh main kaise us ki pehli biwi se noor ko cheen sakti hoon...magar ye meri kamzori hai ke main noor ko saira ke sath bardaasht bhi nahi kar sakti..main khud sambhal jati hoon par dil ko kaise samjhaaooon..daikho mere dil ki kia halat hai ..bagair kisi jurm ke aise dharak raha hai jaise na tezi se dharka toh rukk jata..bolo kia haisiyat hai meri aik doosri aurat ki.............kia haisiyat hai meri ke main chor ban ke reh gai hoon..noor ke apne relatives main siara ka makaam hai...noor ke official functions main saira us ke sath aaya jaaya karti hai ..noor toh azaad hai haq banta hai us ka saira pe bhi aur mujhe par bhi..

par tum socho kia main azaad hoon..saira bhi azaad hai..wo pehli biwi hai noor ki us ko koi noor se kaise alag kar sakta hai bolo sawaira kia main ye haq rakhti hoon..main toh in sab haqooq main se koi aik haq bhi nahi rakh sakti..hua na ye rishta mere liye roug...hua na ye rishta mere liye dard...........

sawira kehna bara asaan hai is rishte ke bare main par is rishte ko sehna bohot bohot mushkil hai..maha ne driving seat ka sheesha neeche utaar kar waiter se ice cream pakri aur aik bowl sawaira ko pakrate hue sath hi waiter ko order kar dia bill ka..............aur phir khud bhi khamoshi se ice cream ko aise seene main utaarne lagi ke jaise is hi ki thandak se us ke dil main lagi aag thandi ho jaaye gi..magar ice cream us ke seene main dard karti utar rahi thi..maha baaqaaida is ki thandak aur softness ko apne seene main mehsoos kar rahi thi..magar ye ice cream ki softness us ke seene main dard ka ehsaas paida kar rahi thi..

bohot dair ice cream khatam hone tak ki khamoshi tooti ..car ke sheeshe pe waiter ne halka sa knock kia toh maha aik dam chonk gai aur waiter se bill le kar us ko payment ki aur phir car start ki aur sawaira ko us ki manzil ki taraf chorne ke liye car ko us ke ghar ki taraf kar liya......

tum chonk kion gai thi maha jab waiter ne knock kia tha...itni magan ho gai thi ice cream main ke dar gai us ki aahat se..

maha ne thori buri si smile di aur boli huzoor ap ko kia lagta hai main jalte dil ke sath ice cream ko apne seene main bare shoq se melt kar rahi thi.....chalo tumhara ghar aa gaya hai..utro warna yaheen ham dono halki sardi se jo ab raat barhne ke sath barh rahi hai freez ho jaayen ge....

sawaira ne maha ka face bare pyar se apne hath main liya aur boli..main janti hoon kia guzar rahi hai tum pe..main is kafiyat se guzri nahi hoon par tumko main ne khud main mehsoos kia hai..aur issi tarha tumhari feelings ko bhi main apne andar mehsoos kar rahi hoon ..mujhe beshak dard nahi ho raha tumhari takleef ka..par tumhari takleef mujhe utna hi dukh de rahi hai jitna dard tum ko ho raha hai..rooh tumhari tarapti hai par rounghte mere khare ho jate hain itna mehsoos kia hai main ne tumhain maha.......

meri jaan tum udaas mat raha karo..khud ko is qaid ki zindagi se nikaalo aur kuch apna bhi socho ..bari lambi umar pari hai abhi tumhari..kia sari zindagi iss hi khof aur intizar main guzaar do gi ke kab noor mukammal tumhara ho jaye ga..tum ne daikha nahi ..noor ko toh apni pehli biwi se bhi pyar hai..wo toh us ki zimmedari bhi poori karna chahta tha..

tum ne kahbhi gour kia hai..tum do aurtain jab sirf aik mard ko apne dil main rakh ke jee sakti ho toh kia us mard ko bhi sirf aik hi aurat ko apne dil main jaga dene ki nahi sochni chahiye thi..kion us ne apne dil main aik se ziada ko jaga di..kia noor ka dil hi dil hai ke jis main jo jee chahe aa sakta hai aur jo jee chahe us ke liye tarap sakta hai..

jaise tumko noor ki halki si takleef ka ehsaas hai ke us ko tum dono main taqseem hona par raha hai toh kia us ko tumhari aur saira ki takleef ka ehsaas nahi jo na noor ki ho saki na apni zaat ki..sirf noor ki zaat ke liye dono ne apna aap khoya hua hai..kia tum kisi aur ke sath jurr kar apna makaam nahi paa sakti thi..kiya kami hai tum main tumhare roop main ..kuch kami nahi hai..

maha dil ke hathoun majboor mat karo khud ko ...hosh sambhaal kar faisla karo..kion barbaad kar rahi ho khud ko us mard ke liye jo tum dono ko sahi se abaad nahi kar paaya..wo aik ka nahi ho paaya toh wo do ka kaise ho jaye ga..bekali ki zindagi main khud jee raha hai tumhara kal kaise sanware ga..khud ko us ke pinjre se nikalo..

wo bhi tumhare khayal rakhne ki soch se azaad hoga aur apni manzil ka taaiyunn kar sake ga aur tum bhi pinjre se nikal kar khuli fiza main saans lo gi..kabhi mehsoos kia hai us khuli fiza ko jis main agar tum hoti toh kaise jeeti...

tumhari abhi bohot umar nahi hui..aik nahi das loug mill jayen ge tumhain jo sirf tumhare honge..aur tum sirf uski...socho meri jaan socho ..apne liye bhi socho..chor do noor ke bare main sochna joh khud saira ke sath baitha us main khoya hua hai aur tumhari tanhayee ki us ko khabar bhi nahi na hi khayal hai..us ko toh tumhari aahat ki pehchan bhi nahi ..tum us ke pas se wapas lout aayeen aur us ko pata bhi nahi chala..aise hi tumhare sath wo saira ko bhool jata hoga..us ki toh paanchoun ungliyaan ghee main hain..

hmmmmmmmmmm..bari si haan bhar kar maha ne sawaira ko thanks kaha..aur apne aansoo ko tissu paper se ponch liya..aur boli..theek hai main sochti hoon is bare main..waqayee main ne kabhi gour hi nahi kia ke jis ki aarzoo main main khud ko luta rahi hoon wo toh dono hathoun se apni mohabbat saira pe luta raha hai..tum ab jao aur tumhara bohot shukria tum ne meri aankhain khol di hain..tumhari kal aik nai maha se mulaqaat hogi..jo ab mahrukh noor nahi balke sirf mahrukh hogi..aur mah rukh ka chehra phir se chand ki tarha hi damke ga daikh lena tum sawaira .........aur phir maha sawaira ko us ke ghar drop kar ke apne dil mian araam mehsoos kar ke aur aik nai zindagi ka faisla kar ke apni rah pe chal di........................aur is dafa us ne apni car ko us road pe nahi doraya jo noor ke diye hue ghar ki taraf jati thi..balke us ne car ko us ghar ki taraf dora dia jo us ke apne maan baap ka ghar tha .ke jin ko wo sirf noor ki chah main chor aayee thi..
maha ne faisla kar liya tha ke ab wo noor ke ghar main aur noor ke dil main dobara wapas nahi jaaye gi..us ko ab apni aur apne makaam ki fikar ho rahi thi..wo wapas apna makaam chah rahi thi..aur ab us ko kafi halka pann bhi mehsoos ho raha tha ..kion ke wo ab faisla kar chuki thi....

Admin
08-11-2015, 11:48 PM

kia bat hey jinab shuker hey apki post tu nazar aai

CaLmInG MeLoDy
08-11-2015, 11:52 PM
kia bat hey jinab shuker hey apki post tu nazar aai
جی جناب۔۔آج بڑی فرصت سے آن لائن ہوں۔ لیکن اب نیند آ رہی ہے۔