PDA

View Full Version : KhUd FaRaIbI



CaLmInG MeLoDy
08-11-2015, 11:40 PM
faraib kia hai, aur khud faraibi kis ka nam he...kabhi khud main jhaanko bohot se faraib nazar aa jayen ge,kabhi apni hasratain khud faraibi ,kabhi doosron ko faraib de ke banawti sakoon khud faraibi.bare khushnaseeb hain woh log joh ird gird pyar ke sahare jeete hain.par woh bhi toh hain joh akaile hain, is khud faribi main ke woh mera hai yeh mera hai.yeh main ne jeet liya ye har dia, ye sab nishaniyan khud faribi ki hain.khud ko is baat pe fariab dena k ham ne dost bana liye, ham ne apni kamzorion ko khud se chupaya hua hai, khud faraibi ki hui hai.yani apni mehroomiyon ko apni kamzoriyon ko ham ne khud ko faraib de ke chupa rakha hai.kion nahi khud main apni zaat ki takmeel karte, kion nahi ache se ache dost ki talaash chorte, kon hai ,koi bhi nahi, koi kisi ka nahi hota, rishte talluq sab ke sab kisi na kisi maslehat ke qaidi hain,so ham bhi hain.kabhi ham kisi se nibha nahi paate toh kabhi koi ham se nibha nahi paata..
ye talluq ye rishte sab aik doosre ke mohtaj kion hain,kion ham apne ap main itne mazboot nahi ke doosron ki tawajoh aur kandhe ke mohtaj hain,kia hain yeh talluqaat kia hain ye rishte,,sab waqt pe aazmaate hain, sab ke apne apne tolne ke aur parakhne ke tareeqe hain,ham kion in rishton ko apni kamzori banate hain, kion ham khud faribi karte hain apni mehroomion ko dosti main dhaal kar mehroomiyaan kam karne wale woh tamaam joh is faraib main jiye jaa rahe hain, un ko mera salam, par guzarish yeh ke khud jiyain aur rishtoon ke mohtaj ban ke khud ko musalsal mohtaji aur khud faribi se bachayen.
maana ke dunia daari bhi zaroori hai..par jitni zaroori hai..bas utni hi honi chahiye.zaat ki takmeel zaroori hai.auru\ zaat ki takmeel mohtaajji main nahi hai.