PDA

View Full Version : Be MaTlAb mUdAkHlaT!!!



CaLmInG MeLoDy
08-11-2015, 11:38 PM
Dunia kisi haal main bhi jeene nahi deti..yeh baat sunna kitna asaan hai.par jab yeh baat insan ko mehsoos hone lage toh us ki aziyat woh hi insan samajh sakta hai jis ko yeh baat mehsoos ho rahi ho, akaile main , tanhayee main jab jeene ke liye koi sahara, koi tareeqa koi aasraa insan dhoond le toh us ke sath bhi insan se jeene ka haq cheen liya jata hai..toak toak kar insan ka wo haal kia jata hai ke woh na sahare ka rehta hai na zindagi ka..kuch soojta nahi.laazmi nahi ke koi kisi insan ke sath ko hi apne jeene ka sahara banaye,,insan kisi kaam se kisi khail se, kisi masroofiat se bhi toh dil laga sakta hai,magar yeh dunia insan ko kisi bhi haal main jeene nahi deti.nahi hai koi dunia se matlab, nahi kisi ka bhi intizaar, koi nahi aye manaane ko, koi nahi aye pukarne ko, jaise jia ja raha ho waise hi insan jeeta jaye toh kia masla darpaish ho jata hai un logon ko joh tanhayee main toh sath dete nahi, par tanhayyee kaatne ka joh tareeqa dhoonda ho us par bhi aitraaz karte hain, kion karte hain airtaaz .Aitraaz us waqt karte hain jab insan tanha jeena seekh leta hai..kia youn kisi ki zaat ko bakhair kar koi khush reh paata hai..reh paata hoga khush tab hi kisi ka sukh chain , be maqsad zindagi guzaarne ka tareeqa cheen leta hai, is ko hi dunia daari kehte hain,kisi ka sath hote hue bhi sath nahi hona..kisi ka apna hote hue bhi anjana hona..kabhi kabhi toh halaat yahan tak le ayen ke apna pan khatam ho jaye toh kia jeena chor dia jata hai, toh kia jeene ke tareeqe bhi chor dene chahaiye..nahi...............

youn zindagi nahi guzarti, youn raaton ko jaag jaag kar, youn apne aap be maqsad aur be alfaaz si baatain kar ke zidagi nahi guzarti, jeena bhi mushkil aur sehna bhi mushkil, kahan jaye phir woh insan ke jis se zindagi bhi gaye,, zindagee ka sahara bhi gaya, zindagi guzaarne ke tareeqe bhi gaye,,,kia aisa insaaan jee pata hai,,,,jee pata hai par mar mar ke jeeta hai.roz jeeta hai roz marta hai,,youn qatra qatra zeher rooh main utarta hai, ke us qatre ka rooh main utar jane tak ki takleef bhi na qabil-e-bardaasht,,aur aik naye qatre ke rooh main daakhil hone ka intizaar bhi kuch kam takleef de nahi, pata nahi..yeh batain sachi hain ya bas baatain hain.par yeh woh baatain hain joh shayad sirf aik aisa tanha insaan hi samajh paye ga joh tanha ho,,,joh samandar main doobte hue baar baar jee uthne ki khuahish liye jeene ki koshish kar raha ho ,aur us ke saahil pe aate hi log aur taqdeer dobara us ko gehre paani main dhakail de,,jahan us ko dunia se nafrat ho jaye, jahan us ko apni tarapti zidagi hi nazar aaye,kitni aaziyat naak hai yeh takleef...koi pooche kabhi us se joh is aziyat se guaarta ho, kabhi kabhi khud main sochte khud ko aik dunia se alag insan mehsoos kare,,kabhi kabhi mehsoos ho ke us ka zehen hi us ka sath nahi de raha, kabhi kabhi lage youn ke dunia ne usko tanha chor dia,,kabhi lage youn ke dunia ko us ne chor dia,,

dunia chore us ko ya woh khud dunia ko,,takleef toh dono tarha uski apni hai, par jab jeene ka maqsad hi nahi rahe toh kia duna ko chorna aur kia dunia ka chorna..sab be maani si baatain hain, bas kuch alfaaz hain joh insan ka sath dete hain, bas kuch batain hain joh woh khud se kar ke apni zindagi guzaar leta hai, magar kahin aisa nahi ho ke yeh alfaaz , yeh baatain joh uski apni hain woh bhi koi cheen le, koi kisi ki zindagi main aye hi kion yeh jaane bagaiar ke us ke aane ya na aane se koi fark nahi parta ,insan shamil-e-tanhayee ho toh yeh toh soche ke kia tanhayee ko khatam kar jaye ga,,ya apne jaane ke baad is wehshat ko aur barha jaye ga,is be maqsad aane ko hi mudaakhlat kehte hain.kisi ki khaali dunia main us ke jeene ke tareeqon main mudaakhlat dar haqeeqat jeene ko zindagi ko aur us ko us se cheen lena hai,be jaa mudakhlat hai.......................................