PDA

View Full Version : Qoum-e-Samood & Hazrat Saleh A.S



CaLmInG MeLoDy
07-27-2015, 11:32 PM
قومیں ثمود کے دانچھے جس پر عذاب الہی نازل ہوا تھا . یہ وہ لوگ تھے جو اپنے علاوہ کسی کو بھی نہیں مانتے تھے یہی کہتے تھے کہ ہم سے طاقتور اور مضبوط کوئی نہیں لیکن یہ نہیں پتہ تھا کہ جس نے تم لوگوں کو بنایا ہے وہ کتنا طاقتور ہوگا. دوستوں یہ لوگ نہ بڑھے ہوتے تھے نہ بیمار ہوتے تھے صرف موت آتی تھی. مگر نہ شکر تھے اور اللہ کے حکم کو نہیں مانتے تھے پھر اللہ نے ان لوگوں پر عذاب فرمایا اور تباہ اور برباد ہوگئے. اللہ ہمیں عذاب سے نجات دیں اے اللہ آپ کا لاکھ شکر ہے کہ ہم مسلمان پیدا ہوئے پھر حضرت محمد ٌ کے امت میں پیدا ہوئے ہم تیرا بہت شکرگزار ہیں . ہم آپ کے علاوہ کسی کو سر نہیں جھکاتے ہم صرف آپ کی عبادت کرتے ہیں. اے اللہ ہمیں اپنی عذاب سے بچائے. آمین یا رب العالمین

http://i60.tinypic.com/2whgpsi.jpg

http://i58.tinypic.com/jkwuh2.jpg

http://i57.tinypic.com/fms7qo.jpg

HAZRAT SALEH A.S.
Hazrat Saleh a.s. ka zikar Quran mein 8 martaba aaya hai. Aap ka taluq qom Samood say tha aur ye Hazrat Hood a.s. ke sath bach janay wali qom Aad thi. Iss qom ka ilaqa Hijaaz aur Shaam k darmiyan hay. Qom Samood paharon ko kaat kar shandaar makanaat aur mehelaat bananay k mahir thay. Saleh a.s. nay apni qom say farmaya: "Tum uss waqt ko yaad karo, jab tum ko Aad k baad un ka khalifa banaya gaya, aur tum ko zameen per jaga di k tum uss per mehelaat banatay ho, aur pathar taraash kar paharon mein makaan banatay ho" (Araaf)
Jub qom Saleh a.s. ki tableegh say tang aa gai to uss nay shart rakhi k Allah agar apni koi nishani dikhla day to hum eeman lay aein gay...Nishani ye ho k samnay paharon say aik haamla 'Oontni' zahir ho aur wo bucha day.
"Naaqatullah (Allah ki oontni)"
Phir aisa hi hua..Allah nay oontni bheji aur uss nay bucha b diya, magar Allah nay 2 sharait rakkhin..pehli ye k oontni aur uss ka bucha zameen per azad hoon gay jahan say chahein khaein..doosri ye k basti k pani k koonvein per aik din oontni ki baari hogi aur aik din qom ki.
Saleh a.s.nay qom ko khabardaar kiya k oontni ko koi takleef na dena warna Allah k azaab say na bacho gay..Qom kuch arsa sakoon say rahi aur oontni ka doodh istamaal karti rahi...magar kuch arsay baad unhon nay oontni aur uskay buchay ko maar dala.Hazrat Saleh a.s. ko jab pata chala to aabdeeda ho gae aur farmaya: "Badbakht qom! Aakhir tujh say sabar na ho saka, ab Allah k azaab ka intizar kar, 3 din k bad, na talnay wala azaab aaye ga aur tum sub ko tabah kar jaaye ga.
Aale Samood per azaab ki nishanian aglay din hi zahir hona shuru ho gaein.. Pehlay din un sub k chehray zard par gaye, jesay khauf say hon. Doosray din un k cheray surkh ho gae..Teesray din wo kalay ho gae. Usi raat aik aawaaz nay un ko halaak kar dala. Qurane Karim nay iss aawaaz ko kahein "Saiqa"(karak daar bijli), kahein "Radefa" (zalzaka dalne wali cheez), kahein "Taaghiya"(dehshat naak)aur kahein "Saeha" (cheekh) kaha hay. Saleh a.s. aur un k musalmaan sathion k ilawa puri qom tabah ho gai.
Aap ne farmaya "Ay qom! Mein nay beshak apne Rub ka peghaam tum tak pohnchaya aur tum ko nasihat ki magar tum ko nasihat karney waley mehboob na they" (Aaraaf)
Ye zaruri nae k her qom jo Allah ki na farmaan ho, halaak kar di jaaye, MAGAR jub koi qom Allah ki taraf say koi nishani ya mojza talab karay, aur usay ataa b ho jae, tou phir uss ki sarkashi per tabahi lazim hay.
Ummat e Rasool saww ko azaab e aam say istasna hay, jis k liye Aap saww nay dua farmai aur Allah nay qubuliat ki mohar laga di......Quran kehta hai:-
Ay Rasool jub tu in mein mojood ho gay Allah in (kafiron per) azaab nahin bheje ga(Anfaal)

BDunc
11-21-2017, 12:00 PM
Allahu Akbar