PDA

View Full Version : Des Pardes Kahani..!



singer_zuhaib
05-25-2014, 08:16 PM
Assalam o Alaikum.

Des kia hota hai Des ki Qeemat kia hai,Des ki Matti ki kia ehmiyat hai,Des kesa hai kesa nahe hai ye kisi Desi se nahe haan kisi Pardesi se zaror poche to ap ko ehsaas ho ga k des ki kia keemat hai.

Mai graphic course kar raha hon Lhr mai Brains College se yaqinan Lahore k rehahishi jante he hon ge.to sir ne hume koch assignment di thi k ye kaam ap ne karna hai or class mai kisi ne nahe kia howa tha to sir ne thora taunt wale andaaz mai kaha Beta Ap mese boht say bacho k walid Abroad mai kamate hain or ap ko yahaan pak mai pese bhejte hain k ap loog apni parhai mukamal kare or koch ban jao kisi qabil ban jao.

par ap logo ko ehsas he nahe hai baap kama kama kar bhej raha hai or ap loogo ko ehsaas he nahe,jo kaam ap logo ko karne k liye kehta hon ap logo ko time pe karna chahiye par ap loog apna or apne baap ka pesa or time waste kar rahe hain..

youn he bato bato mai sir ne bataya k Ap loog jante hain k ap k Baap bhai Abroad mai kese jeete hain kese kamate hain kese khate hain?
yaqinan ap ko nahe pata nahe jante.

Mera ek dost Saudia mai rehta hai os se jab baat hoi to os ne bataya k bhai Mai ek waqt ki roti ko adha khata hon or adhi bacha leta hon dosre waqt mai khane k liye or yahaan tak k agar vo rooti sookh jaey to pani mai bhigo kar khata hon ta k jo pese roti pe kharch karne hain vo pese mai apne bv bacho ko bhejo.

phir sir ye bataya k Dubai mai loog kese rehte hain ab ye bhi sun lo,wahaan pakistani sharing pe rehte hain or ek ek room mai 10 10 loog rehte hain k wahaan pe flat boht expensive hain.

mai sir ki bate sun raha tha or muje Apne walid sahb ki yaad aa gai k vo Saudia mai kese reh rahe ho ge or un ka soch k mere bas ansoo nikalte nikalte reh gaey ya phir mene zabt kar lia k class mai betha hon.

Agar ap k ghar mese koi bhi Fard Baap,Bhai Beta Abroad mai hai to pls unpe otna he booj dale jitna un pe bhari na pare.
agar hum he apne piyaro ka ehsaas nahe kare ge un k dard o takleef ko nahe samjhe ge to kia kisi gher ne ye sab karna hai.

RABB REHMAN un sab k haal pe Rehma o Karam farmaey jo Apne piyaro k liye Pardesh mai Ji rahe hain.

Ameen.

44

Xtylish sami
05-27-2014, 07:07 PM
ohhhh..soo sad ....

Ria
05-30-2014, 04:31 PM
haan jee hota to asy he hy,
yaha per log smjhty haien k jo abroad gaia hy wo pata nahi waha darkhtoon sy pasy toorta hy ya jharoo sy akhthy krny gaia hy
us ki kia muskilat kia masiyab es ka andaaza nai hota
wo waha per her her lamhy ko mehsoos krty haien akelay hoty haien hum yaha sb ghar walo k sath..

FOOl
05-30-2014, 05:50 PM
Aap ke sir ne aap ko pics ka eik rukh dikhaya hay, pics ka dosra rukh dikha dete to boaht acha hota,

Aise log jo abroad aate hen jin ke pass koi skill nhi hoti un ke haalat bohat kharab hoti hay, Un ko paise bhi kum milte hen ur un ki koi care bhi nhi kerta, Mager aise log jin ke pass koi skill hoti hay wo achi hallat men hote hen, Ur aise log jo supervision, engineering, administration, ya management men hote hen, wo bohat hi achi haalat men hote hen,

JIs dost ka aap ne hawala diya keh wo aadhi roti khata hay aadhi bacha leta hay to yeh us ki apni nature men hay, Aise bohat se log hote hen jo selfish hote hen, jo dosron ke bare men nhi sochte to dosre bhi in ke bare men nhi sochte, So Abroad men ager kisi ki halat aisi ho to us ke ass pass rehne wale atleast food pe zaror us ko sharing dete hen,

Me khud managing post pe hon, Ur Alhamdulillah kisi chiz ki kami nhi hay, Transport hay, accommodation bohat achi hay, Food bhi acha hay, Hoteling bhi hoti hay, Beach pe bhi jata hon, Doston ke sath mil ke weekend pe party bhi hoti hay, Ur shaeyed ager me Pak men job kerta to itta acha me ko package nah milta.

So U itte mehnat kro keh jub u abroad aao to u ko achi post mile. Ur u apne Abbu se keh sko keh ub aap ghar jaa ke araam karen, Main hon na,