PDA

View Full Version : The Message 116



singer_zuhaib
02-05-2015, 06:39 PM
The Message

Insaan Jab ishq e Majazi mai Muhabbat karte karte Ishq k Maqam pe ponchta hai to tab Faqat yehe chahta hai

K

Mai Mehboob Ko Pehro Sochta,Dekhta or Sunta he raho Jab Socho Mehboob ko he socho

Or

Insaan! Koch Or bhi Soch Raha ho to Mehboob ki he soch Aa jati hai Jab Dekho Mehboob ko he dekho

Or

Phir Har Ajnabi Chehre mai bhi Mehboob ki Jhalak dikhai de jati hai Jab Suno To Mehboob ko he suno

Or

Phir har Awaaz Mai Mehboob Ki Awaaz he Sunai De jati hai

Or

Ishq k Os Maqaam pe ponch jata hai jahan Mehboob k ek Ishare (Hukam) par he Insaan Mehboob ko he Sochte,Dekhte or Sunte howe Jaan Ki Qurbani de jata hai

To

Jab Ek Insaan K Ishq Mai Itna Sehar o Asar hai to

Aey Insaan!

Zara Soch bas Zara sa! K Ek Mehdood o Adna or khaak se bane howe Insaan Ka Ishq sar Charh k Bolta or Be khud o Be Sudh kar deta hai

To

Ishq e Haqeeqi ki Kia Shaan ho gi
Kia Maqaam o Martaba o ho ga
Kia Nasha,Suroor o Lutf ho ga

Or

Phir Noor he Noor or Noor he Noor Alaa Noor se Ishq ka kia Maqaam ho ga

Phir

Insaan Banda ban jata hai Banda hone k nate Bandgi karta hai

Haan!

Phir Banda Socho ka Markaz RABB REHMAN ko he Sochta hai Har Har She Mai RABB REHMAN ko he Dekhta or khoojta hai

Phir

Agar Sunta hai To faqat RABB REHMAN he ki Sunta hai

Or

Phir Banda ( Imaam Hussain A.S ) Apne Khaalik o Maalik se Ishq karte howe Fanaa ho kar Baqaa ho jata hai

Rukiye!

Har Bande ki Kia okaat...k Vo Khaalik o Malik se Ishq kare...!!!

Haan!

RABB REHMAN jise Apne Ishq K Liye Chun le Muntakhib kar le,jis pe Nazr e Karam Farma de

To

Aey RABB REHMAN
Aey Nihayat Mehrban
Aey Rehman O kareem
Aey Ghafurur Raheem
Aey Parwardigaar
Aey Palanhaar

Mai Tuj se Tere Ishq ki Bheeg mangta ho kio k Mai Tere he Dar ka to Bhikaari ho

Pus!

Muje Khud mai Fanaa kar k Baqaa kar de
Muje khud Mai Fanaa kar k Baqaa kar de
Muje Khud mai Fanaa kar k Baqaa kar de...

YA WAASIOU
YA SAAMIOU
YA MUJEEBOU

AMEEN

YA RABBUL AALMEEN.

Pls Ek bar Darood Pak parh le.

Pls Join N Share Insaaniyat.

Writer-zuhaib.