PDA

View Full Version : Aaiye AapKi Shamat Hai..................!!!

Mamin Mirza
05-15-2014, 11:26 AM
Assalam O Alaikum

umeed hai k aap sab bakhair o afiyat honge.
aik muhtarma hai jo iss forum ki admin bhi hain,kuch din pehlay unhon ne aik silsila shoro kiya,
interview ka,,,,,,,,jis ne achay achon ka interval kar diya
aik dosri taraf muhtarma ne uksanay ka kaam bhi jari rakha k main kisi ko iss garam a garam kursi e shamat e amal yani hot seat par barajaman karon.
pehlay tou main shareef bachi bani rahi,k kiyun kisi bechay ki dil azari ka bais banon
but phir maine socha..........kiyun na jaisay ko tesa kiya jaye,
nehlay pay dehla aur aap apnay daam main sayad aagya k muhawarray tou aap logon ne sunay hi honge
nahi sunay........chaliye amli muzahira dekh lijiye ga iss interview main...!
tou janab dil,jigar,gurda,phaiphra........ jo marzi samnbhal kar baithye,
kiyun k mujhe tou jisay bulana hai ussay bula kar hi rahon gi..!
ye aik aisi azeem hasti hain jo kabhi tou ghadhay k sar say seeng ki tarhan ghayab rehti hain aur kabhi har lamha sar par sawar,
qainchi bhi itni taizi say nahi chalti jitni farawani say inki zuban apnay kamalat dikhati hai,
jahan aag na lagti ho wahan in say atish fishan ubalwa lain,
aur bhi aisi kai khoobiyan hain
tou janab purzor yani warm welcome kijiye
the one and only
Rubby dubby do,
darling of mine
Calming Melody
https://encrypted-tbn1.gstatic.com/images?q=tbn:ANd9GcQem-iAZxQzqjIAUgNtdJvulTxvv_Edbq2C9kr_8i4N-lCaQ40z
http://stmichaelscatholicprimary.co.uk/wp-content/uploads/2012/10/Welcome.jpg

http://bigbentraveluk.com/wp-content/uploads/2013/09/welcome.jpg
http://www.psrc.net/Images/welcomesmilely.gif

http://lfederman.com/wp-content/uploads/2013/05/welcome1.jpg

https://fisher.osu.edu/blogs/ftmba-admissions/files/redcarpet.jpg

sab say pehlay meray be tukay,bina sar pair k sawalat.

Q1: theek tou tum hogi hi,ya batao nashtay main kiya khaya...logon k maghaz k elawa?
Q2: ghar main kaun kaun tum say panah mangta hai?
Q3: kis ki shamat sab say ziyada ati hai jab tum apni zubani topon ka rukh uski taraf morti ho?
Q4: bolnay ka ye shoq paidaishi hai ya baray honay k baad tumhain ye demaghi khalal waqay hua?
Q5: likhti ho aur humaray parhwa kar sar main dard bhi karti ho,,ya batao kiya parhti bhi aisi hi kitabain ho?
Q6: kiya asaan hai,zindagi tou parhna ya jeena?
Q7: shuker hai tum aik ho,agar do hotin tou kiya hota?
Q8: pasandedah drmai kirdar?
Q9: itnay puranay ganay kiyun sunti ho?
Q10: bharat say itna piyar kiyun hai tumhay?

abhi k liye itna hi..............baqi baad main tumhay maza chakhaon gi,k abhi tou bazi shoro hoi hai ;)

aap sab bhi aaiye,pehlay welcom kijiye aur phir apnay sawalat..........lekin koi behudgi ka muzahira nahi ho,aur sawalat aisay hoon k rubby darling ko bhi lag pata jaye,,,,,,,,,interview main interval kaisay hota hai........hahahahhaha

UmerAmer
05-15-2014, 03:57 PM
Welcome Ji Welcome

ShaZil
05-15-2014, 04:02 PM
خوش آمدید۔
آپ کے جوابات کا انتظار ہے۔

CaLmInG MeLoDy
05-15-2014, 04:47 PM
Mamin Mirza (http://www.urdutehzeb.com/member.php/33-Mamin-Mirza)

oh..aaj subha se mujhe cheenkhian aa rahi theen.. tabiyat main kuch bechaini paai jaa rahi thi..sath main aisa bhi mehsoos ho raha tha .jaise koi wabaal-e-jaan lahaq hone ko hai :P

yahan aa kar pata ke wabaal-e-jaan lahaq hone ko nahi.balke lahaq ho chuka hai.. :P.. ae behen mamin ji.akele main bula ke chaahe chamri utaar leteen ..par ye sar-e-mehfil bulaa kar kaahe ko meri pol khulwaaye hain :P.

lakin aap ne jaise ke khud kaha keh daam main aa gaya saiyaad :P ..toh ji ham basad shoq aaye .. toh aaiye jee bhar ke khaal utaariye ..aur sab se mill kar utarwaaiye.. :P

aik aur mahaawra bhi hai..naakoun chane chabwaana..aap log saiyaad ko daam main laaiye....saiyaad aap ko naakoun chane chabwaaye ga :P

nehle pe dehla ..

haye waise dar bhi lag raha hai...tussi the great jo ho .. aur aap ki jaanib se..ye dil pharrkaane waala amal first time daikhne ko mila..toh abhi toh dharkanain rawaan ho gai hain..daikhte hain kia hota hai..

sab se pehle toh thank you shankyou is saada dil, aur aik aam si insan ko hot seat pe bithaane ka.. :P

lijiye ye cushion aur araam se baithiye...main hon na yahan..

http://handloomwala.com/image/cache/data/Cushion/Love%20You%20Sisiter%20cushion%20cover%20copper..-500x500.jpg
aur aap ke ru baru
http://www.coloring-pictures.net/drawings/Rooster/two-rooster-face-to-face.gif
http://mkalty.org/wp-content/uploads/2014/02/Thank-You.jpg
for such a wonderfull welcome on this hot seat.. dil main pathaakhe baj rahe hain
http://integrityreporters.com/wp-content/uploads/2014/04/bomb-1.jpg
ye aik thank you pathaakha aap bhi catch kijiye.jab tak main yahan aap ke sath hoon
tab tak aap isko hifz-e-mataqqdum ke tor pe thaame rakhiye..

https://encrypted-tbn0.gstatic.com/images?q=tbn:ANd9GcRs8EaQDEXhkHcmye-shkOuI-vOg_jywhyIPoaWSp4kg039gRNG

CaLmInG MeLoDy
05-15-2014, 04:49 PM
Welcome Ji Welcome
bohot bohto shukria ji..

CaLmInG MeLoDy
05-15-2014, 04:50 PM
خوش آمدید۔
آپ کے جوابات کا انتظار ہے۔

IN SHA ALLAH umeed karti hoon mere jawabaat se aap mehzooz honge.. :)

CaLmInG MeLoDy
05-15-2014, 05:07 PM
Q1: theek tou tum hogi hi,ya batao nashtay main kiya khaya...logon k
maghaz k elawa?

naashta toh baraiye naame hota hai mere. aaj bohot ziaada khaa liya toh aik bread slice. warna aik aadh buiscuit se kaam chal jata hai.

Q2: ghar main kaun kaun tum say panah mangta hai?

ittifaq se koi nahi. pannah ki bajaye time maangte hain

Q3: kis ki shamat sab say ziyada ati hai jab tum apni zubani topon ka rukh uski taraf morti ho?

haye kisi ki bhi nahi. oonchi awaz main toh bat karni aati hi nahi hai mujhe. haan ghussa agar utaarna ho toh bas ghar ke chote bachoun pe wo bhi is bat pe ke tv ki awaz kam karo

Q4: bolnay ka ye shoq paidaishi hai ya baray honay k baad tumhain ye demaghi khalal waqay hua?

ye khalaal sirf net ki had tak mehdood hai. aur net main ne almost 2004 main use karna start kia..bas tab se jo meri zubaan ne typing ka qalam thaama hai. rukne ka naam hi nahi le raha :P . warna aik hi sister hone ke hawale se ziaada batain nahi karti kabhi bhi.

Q5: likhti ho aur humaray parhwa kar sar main dard bhi karti ho,,ya batao kiya parhti bhi aisi hi kitabain ho?

adab ke hawaale se kitaboun se koi khaas afaaqa haasil kia nahi hai main ne. .ye likhna likhaana bas apni soch ko kaaghaz par utaarna hai. aur jo soch zehen main aa rahi hoti hai.joon ki toon kaghaz par utar aati hai..had toh ye hai ke phir isko edit karna bhi mushkil se hi gawaara karti hon.aap ba hesiyat ustaad sath deti raheen toh editing bhi karoongi apni writings main :)

Q6: kiya asaan hai,zindagi tou parhna ya jeena?

dono mushkil hain. magar in ko aasaan banaaya ja sakta hai..dono baatoun ki taraf se la parwaah ho kar. bas jiye jaow.aur khud ko khush rakhe jaow.

Q7: shuker hai tum aik ho,agar do hotin tou kiya hota?

main aik hoon..is ka nuqsan hai. akele pan ka shikar ho jati hon.do hote toh ye akela pan nahi hota.

Q8: pasandedah drmai kirdar?

mujhe riwaaiti kirdar pasand nahi aate. rona dhona..daramas ya movies chehekti pharakti honi chaahiye.. jaise ke aaj kal aik pakistani drama hai bashar momin, us main faisal qureshi ka kirdaar . aur jaise aik indian movie thi company us ka negative kirdar abhi yad nahi aa raha. bas is type ke kirdar pasand hain.

Q9: itnay puranay ganay kiyun sunti ho?

mohabat hai puraane gaanoun se ..sirf ye soch kar ke ye mere abbu ki pasand hain.. aur ye soch mujhe aksar rula deti hai ke ..Allah na kare kabhi ye waqt bhi toh aaye ga ke ye aawazain mere kaanoun main khud se kabhi nahi jaaye gi. Allah pak mere father ko sehat tandurusti aur lambi zindagi se nawaaze aameen.

Q10: bharat say itna piyar kiyun hai tumhay?

hmm. I am a pure pakistani.. haan par wahan ka culture almost ham se milta julta hai..magar wahan ke dramas mujhe bilkul bhi nahi pasand. pyar toh nahi kaha ja sakta..han par nafrat bhi nahi hai mujhe bharat se.

abhi k liye itna hi..............baqi baad main tumhay maza chakhaon gi,k abhi tou bazi shoro hoi hai ;)

kion dara rahi hian jee

aap sab bhi aaiye,pehlay welcom kijiye aur phir apnay sawalat..........lekin koi behudgi ka muzahira nahi ho,aur sawalat aisay hoon k rubby darling ko bhi lag pata jaye,,,,,,,,,interview main interval kaisay hota hai........hahahahhaha

waiting ji waiting..

Mamin Mirza (http://www.urdutehzeb.com/member.php/33-Mamin-Mirza)

Mamin Mirza
05-15-2014, 08:04 PM

bechay hum balaye jaan hain,jonk ki tarhan chimatay hain aur jaan nahi chortay
balkay humari misal tou uss daimi marz ki si hai jis elaj koi nahi,sirf marg hi hum say jaan churwa sakti hai,hahahahahahaha
aur humaray yaad karnay par sirf chinkain........... ch ch ch ch ch ch ch
betay,phanday,thaskay,khansi ye sab nahi hua tumhay ;hansi::

chalo waqt bataye ga,kis main kitna hai...............ahum ahum ;)
tum mujhe kiya ye phul jhari day rahi ho,yaar,
ye lo tumhari shaan main 21 topon ki salami,
rakhi tou akhir k liye thi k jab haftay baad ye interview khatam hoga tab tumhari nazar karon gi
magar abhi dena par raha hai mujhe
https://www.ispr.gov.pk/archive_images/2606.jpg

dratay waratay hum nahi,sirf mutanabeh kartay hain,baqi samnay walay ki marzi
wesay darnay wali tum ho nahi,mujhe maloom hai ;;;

Mamin Mirza
05-15-2014, 08:11 PM

kitnay achay achay main ghair sanjeeda sawalat kiye thy,
tum ne wahi falsafiyana andaz ikhityar kar k sab kiye karaye par pani phair diya,
aisi durgat banai hai meray sawalat ki k al aman alhafeez
ab main tum say wahi lagay bandhay sawal karon gi jaisay k

Q1: aapne raat ka khana theek say khaya,,,,,,,,,,khanay main kiya pakaya?
Q2: soti kis waqt ho.......macharon say dosti hai ya sari raat jang karni parti hai,meri tarhan?
Q3: high heel pehanna pasand hain ya nangay pair hi ghomti ho ab tak bachpan ki tarhan?
Q4: sari pehan ki kabhi munh k bal girin?
Q5: din main taray nazar anay ka koi waqiya kabhi waqu pazeer hua ho tumharay saath tou bayan karo,woh bhi intehai ghair sanjeedgi say?

Mamin Mirza
05-15-2014, 08:12 PM
خوش آمدید۔
آپ کے جوابات کا انتظار ہے۔

آپ کے سوالات کہاں ہیں جناب؟

UmerAmer
05-15-2014, 08:46 PM
bohot bohto shukria ji..

you welcome ji
chalein ji jaldi se ans post karein

Ria
05-16-2014, 12:56 AM
Aryyy aj hum late ho gy aur yaha nehlay py dehla parr gaia....
Aj to aia ont pahar k nechay....;hansi::

Mamin Mirza
05-16-2014, 11:29 AM
Aryyy aj hum late ho gy aur yaha nehlay py dehla parr gaia....
Aj to aia ont pahar k nechay....;hansi::

tou aap ghayab kiyun hua karti hain
aur aapk sawalat kahan hain rubby say puchnay walay
dekhiye,moqa acha hai,kar daliye dhair saray sawalat,akhir ko iss larki ne bhi do bar,aik nahi do bar humaray saron par sawalat ki bochar ki hai :)
aur haan rubby darling k liye muhawarra thorsa sa tabdel hai
ab aya track,pull k nechay ;);hansi::

CaLmInG MeLoDy
05-16-2014, 06:40 PM
bechay hum balaye jaan hain,jonk ki tarhan chimatay hain aur jaan nahi chortay
balkay humari misal tou uss daimi marz ki si hai jis elaj koi nahi,sirf marg hi hum say jaan churwa sakti hai,hahahahahahaha
aur humaray yaad karnay par sirf chinkain........... ch ch ch ch ch ch ch
betay,phanday,thaskay,khansi ye sab nahi hua tumhay ;hansi::

chalo waqt bataye ga,kis main kitna hai...............ahum ahum ;)
tum mujhe kiya ye phul jhari day rahi ho,yaar,
ye lo tumhari shaan main 21 topon ki salami,
rakhi tou akhir k liye thi k jab haftay baad ye interview khatam hoga tab tumhari nazar karon gi
magar abhi dena par raha hai mujhe
https://www.ispr.gov.pk/archive_images/2606.jpg

dratay waratay hum nahi,sirf mutanabeh kartay hain,baqi samnay walay ki marzi
wesay darnay wali tum ho nahi,mujhe maloom hai ;;;

:P:P toupoun ki salaami toh aise de rahi hain ..jaise ruby na hoi bharat ho gaya. yaani naam salaami ka. kaam tamaam ke iraade :P.
waise main dar bhi jati hon...par bataati koi nahi :P

CaLmInG MeLoDy
05-16-2014, 06:46 PM
@Mamin Mirza

kitnay achay achay main ghair sanjeeda sawalat kiye thy,
tum ne wahi falsafiyana andaz ikhityar kar k sab kiye karaye par pani phair diya,
oh ab pani phair dia hai toh zara wiper ache se lagaaiye ga...
aisi durgat banai hai meray sawalat ki k al aman alhafeez
kabhi gharoor nahi kia is harkat par..
ab main tum say wahi lagay bandhay sawal karon gi jaisay k
ab aap mera ullu seedha kar chuki hain.toh main ab ullu ban gai hon :P ab koi seedha jawab nahi milne ka. :P

Q1: aapne raat ka khana theek say khaya,,,,,,,,,,khanay main kiya pakaya?

khaane main kisi dish ka intizar nahi hota.. bas kisi ka bhaija fry hone ki dair hai..usko chaatne baith jati hon. us se bhi pait nahi bhara toh yahan aa baithti hoon :P
Q2: soti kis waqt ho.......macharon say dosti hai ya sari raat jang karni parti hai,meri tarhan?
arre macharoun se kia darna..wo mujhe kia kaathain ge..main hi unko kaath khaati hoon . aap kahain toh aik love letter aap ke naam arsaal karon.aur us main ghar ke tamaam macharoun ki laashain bhi post karon .
Q3: high heel pehanna pasand hain ya nangay pair hi ghomti ho ab tak bachpan ki tarhan?
haye haye.main toh high heel bardaasht kar leti hon.par high heel mujhe bardaasht kare tab na. ye aap ko kaise pata chala ke main nanng pairiyaa hoon :P
Q4: sari pehan ki kabhi munh k bal girin?
ab ke gir hi jaoongi lagta hia :P
Q5: din main taray nazar anay ka koi waqiya kabhi waqu pazeer hua ho tumharay saath tou bayan karo,woh bhi intehai ghair sanjeedgi say?
ji abhi aap ne taare hi toh ginwaa diye hain. ab taare tor laane ki himaqat toh ham ne kabhi ki nahi..ginn zaroor leti hoon . aur maze ki baat .door se aik taara chaar taare ki tarha nazar aata hai.phir andaza lagaaiye kitni jaldi ye taare gine jaate honge mujh se. :P

Mamin Mirza
05-16-2014, 11:06 PM
:P:P toupoun ki salaami toh aise de rahi hain ..jaise ruby na hoi bharat ho gaya. yaani naam salaami ka. kaam tamaam ke iraade :P.
waise main dar bhi jati hon...par bataati koi nahi :P

salami fiza main di jati hai,direct banday ko nahi
haan bharti samnay hoon tou phir mamla kuch aur hota hai aur woh tou aisa hai k hum hain aik pakkay pakkay pakistani so age tum khud samjh jao ;)
ahaan,,,,,,,,,,,,,, woh jo tum batati nahi ho,woh darna hai tumhara..........????

CaLmInG MeLoDy
05-17-2014, 12:17 PM

samajh gai hoon janab..lakin aik bat kehte nahi dar rahi ..wo ye ke.I am proud pakistani.. Alhamdulillah..is pak sar zameen ki shehri hoon.aur bohot Allah pak ka shukar ada karti hoon is baat par..

ab lagta hai mujhe darna nahi c hahiye..toupoun ka rukh aap ne meri taraf se hata liya hai ga... :P

Ria
05-17-2014, 08:35 PM
tou aap ghayab kiyun hua karti hain
aur aapk sawalat kahan hain rubby say puchnay walay
dekhiye,moqa acha hai,kar daliye dhair saray sawalat,akhir ko iss larki ne bhi do bar,aik nahi do bar humaray saron par sawalat ki bochar ki hai :)
aur haan rubby darling k liye muhawarra thorsa sa tabdel hai
ab aya track,pull k nechay ;);hansi::

Haan je ghaib hona shyd majbori bn chuka hy...:D
Yaksaniyat ka shikar ho jati houn jald he...:P
es liye jee chahta hy k Dunaia sy pary chli jaoun sakoon k liye/
jald he sawalat k sath hazir hoti houn...:)

Mamin Mirza
05-18-2014, 11:19 AM
samajh gai hoon janab..lakin aik bat kehte nahi dar rahi ..wo ye ke.I am proud pakistani.. Alhamdulillah..is pak sar zameen ki shehri hoon.aur bohot Allah pak ka shukar ada karti hoon is baat par..

ab lagta hai mujhe darna nahi c hahiye..toupoun ka rukh aap ne meri taraf se hata liya hai ga... :P

haan,hum tou jaisay koi ghair mulki agent hain :P
nahi,tum daro abhi,kiyun k ishq k inteham aur bhi hain
aur
aur bhi dukh bhi hain zamnay main Muhabbat k siwa =))

Mamin Mirza
05-18-2014, 11:21 AM
Haan je ghaib hona shyd majbori bn chuka hy...:D
Yaksaniyat ka shikar ho jati houn jald he...:P
es liye jee chahta hy k Dunaia sy pary chli jaoun sakoon k liye/
jald he sawalat k sath hazir hoti houn...:)

duniya say par koi aisi jagah nahi hai,jahan aap hangam e zindagi say farar hasil kar sakain,
aur zindagi k hangam say rihai mil bhi jaye tou andar ka shor phir bhi jaan nahi chorta,,khair
zaroorrrrrrrrrrrr aye sawalt k saath,waiting for ur sawalat....!

Mamin Mirza
05-18-2014, 11:28 AM
CaLmInG MeLoDy

chalo bhi shoro hojao,
Q1: apnay mulk ka kaun sa sheher hai,Islamabad k elawa jisay dekhnay,sair karnay ka shauq hain?
Q2: Karachi anay ka irada tou nahi kiya na kabhi?
Q3: yaad aya,tum ne aik safar nama numa cheez likhi thi,aik aur forum par,meray hi announce kardah compt k liye,usay parh kar meray zehan main aik sawal aya tha,ye rubby dubby do,Umrah karnay gai thi ya khanay khanay??? tum batao kiya karnay gai thin???
Q4: janwar palnay ka shauq hai,,,,,,,,,,,,?
Q5: barish ho tou main pehlay kaam kiya karti ho?
Q6: college,uni main kabhi class bunk ki????
Q7: kaun sa subject munh k zawaiye bigar diya karta hai aur hai abhi talak..??
Q8: kabhi ulti kitab parhi koi,,,,,,,,,yani ikhtetam say ibteda ki janib?
Q9: kiya ziyada zaroori hai,,,,,,,,,,,mobile,laptop.........ya phir sukoon???
Q10:ghar ko saaf karna pasand hai ya ganda..............????

Ria
05-18-2014, 11:28 AM
Sahe kaha Mamin Mirza aap ny....
Khair hamray sawalat ye rahy...:)

1. Susral ki life kasi hy?

2. Abhi tk aap nai newali he haien ya purani ho gai?? :P

3. Sasso Maa sy talluaqat kasy haien? Khushgawar ya bht zayda khushgawar....:D

4. Parents k ghar ko kitna miss krti haien?

5. sb sy important sawal Ab jb Parents k ghar jati haien to kia use istehqaq k sath jati haien ya khud ko thora feel hota k nai ab ye mera ghar nai hy???

Abhi enhi masoom sawalat k jawab daien baqi phr

CaLmInG MeLoDy
05-18-2014, 01:09 PM
@CaLmInG MeLoDy (http://www.urdutehzeb.com/member.php?u=1)

chalo bhi shoro hojao,

Q1: apnay mulk ka kaun sa sheher hai,Islamabad k elawa jisay dekhnay,sair karnay ka shauq hain?
Multan & Qasoor
Q2: Karachi anay ka irada tou nahi kiya na kabhi?
abhi last month hi karachi main thi. aur khoob enjoy kia..is ke ilawa bhi kaafi bar aana hua..ab ke aai toh aap se mulaqaat hogi :P
Q3: yaad aya,tum ne aik safar nama numa cheez likhi thi,aik aur forum par,meray hi announce kardah compt k liye,usay parh kar meray zehan main aik sawal aya tha,ye rubby dubby do,Umrah karnay gai thi ya khanay khanay??? tum batao kiya karnay gai thin???
Alhamdulillah umrah karne gai thi.par wahan chal chal ke itni bhoook lagti hai ke khaana peena par hi jata hai.. :)
Q4: janwar palnay ka shauq hai,,,,,,,,,,,,?
Naaaaaa
Q5: barish ho tou main pehlay kaam kiya karti ho?
room ke khirki darwaaze kholti hoon.agar bochaar kamre tak nahi aa rahi ho .
Q6: college,uni main kabhi class bunk ki????
kabhi nahi.. haan albatta class main se chup ke faraar zaroor ikhtiyaar kia during period
Q7: kaun sa subject munh k zawaiye bigar diya karta hai aur hai abhi talak..??
Maths
Q8: kabhi ulti kitab parhi koi,,,,,,,,,yani ikhtetam say ibteda ki janib?
akhbaar-e-jahaan aise hi parha...
Q9: kiya ziyada zaroori hai,,,,,,,,,,,mobile,laptop.........ya phir sukoon???
sakooon
Q10:ghar ko saaf karna pasand hai ya ganda..............????
saaf suthra ghar pasand hai.

CaLmInG MeLoDy
05-18-2014, 01:12 PM
Sahe kaha @Mamin Mirza (http://www.urdutehzeb.com/member.php?u=33) aap ny....
Khair hamray sawalat ye rahy...:)

1. Susral ki life kasi hy?

aisi jaise raat bhar pur sakoon neend so kar subha class main jana hota ho.

2. Abhi tk aap nai newali he haien ya purani ho gai?? :P

main toh hamesha nai naweli rehne wali hon. :P

3. Sasso Maa sy talluaqat kasy haien? Khushgawar ya bht zayda khushgawar....:D

khushgawaar hain.

4. Parents k ghar ko kitna miss krti haien?

bohot.

5. sb sy important sawal Ab jb Parents k ghar jati haien to kia use istehqaq k sath jati haien ya khud ko thora feel hota k nai ab ye mera ghar nai hy???

chaahe dannde maar ke ghar se nikaal bhi dain kabhi wo log. main ne bilkul dheet ban ke..apne parents ke paas jana hai..kion ke is rishte ka koi badal nahi. :)

Abhi enhi masoom sawalat k jawab daien baqi phr

Ria
05-18-2014, 04:17 PM
Hehheheheh raat bhar so k subha school....:D

Aur best of luck for nai naweli rehny k liye...:P

bht achy Waqie parents k sath wala rishta nahi badl skta kbhi bhi..:)

khush rahiey baqi sawalat b krti houn jald

Mamin Mirza
05-19-2014, 12:09 AM
Q1: apnay mulk ka kaun sa sheher hai,Islamabad k elawa jisay dekhnay,sair karnay ka shauq hain?
Multan & Qasoor
Q2: Karachi anay ka irada tou nahi kiya na kabhi?
abhi last month hi karachi main thi. aur khoob enjoy kia..is ke ilawa bhi kaafi bar aana hua..ab ke aai toh aap se mulaqaat hogi :P
Q3: yaad aya,tum ne aik safar nama numa cheez likhi thi,aik aur forum par,meray hi announce kardah compt k liye,usay parh kar meray zehan main aik sawal aya tha,ye rubby dubby do,Umrah karnay gai thi ya khanay khanay??? tum batao kiya karnay gai thin???
Alhamdulillah umrah karne gai thi.par wahan chal chal ke itni bhoook lagti hai ke khaana peena par hi jata hai.. :)
Q4: janwar palnay ka shauq hai,,,,,,,,,,,,?
Naaaaaa
Q5: barish ho tou main pehlay kaam kiya karti ho?
room ke khirki darwaaze kholti hoon.agar bochaar kamre tak nahi aa rahi ho .
Q6: college,uni main kabhi class bunk ki????
kabhi nahi.. haan albatta class main se chup ke faraar zaroor ikhtiyaar kia during period
Q7: kaun sa subject munh k zawaiye bigar diya karta hai aur hai abhi talak..??
Maths
Q8: kabhi ulti kitab parhi koi,,,,,,,,,yani ikhtetam say ibteda ki janib?
akhbaar-e-jahaan aise hi parha...
Q9: kiya ziyada zaroori hai,,,,,,,,,,,mobile,laptop.........ya phir sukoon???
sakooon
Q10:ghar ko saaf karna pasand hai ya ganda..............????
saaf suthra ghar pasand hai.

acha woh tum thin jis ki waja say karachi main pechlay dinon main ziyada halat kharab hoye thy,shawashay ;;;;;;;

CaLmInG MeLoDy
05-22-2014, 12:18 PM
acha woh tum thin jis ki waja say karachi main pechlay dinon main ziyada halat kharab hoye thy,shawashay ;;;;;;;nahi nahi.wo toh meri bad rooh thi.

Mamin Mirza
05-22-2014, 10:32 PM
nahi nahi.wo toh meri bad rooh thi.

aii shawashay.......tumhari bad rooh bhi aisi bakaml hosakti hai,mujhe yaqeen hai :P

Mamin Mirza
05-27-2014, 11:43 AM
@CaLmInG MeLoDy aapki aamad ka behad shukriya
ikhtetami nazrana hum aapko pehlay hi marhamat farma chukay hain isliye aab sharafat k dairay main(Halank bara okha kaam hai rehna) rehtay hoye aapki khidmat e aaliya rasili chaliya main

phoolon ka tohfa
http://www.ozdenc.com/wp-content/uploads/eroik-fantaisy-bob-bomb-v2-3100.png

ohooooooooo dekha kaha na okha kaam hai,
ye lo

http://flowerstobangalore.files.wordpress.com/2013/03/flowers_6.jpg

aur ab iss thread ko unsticky aur close bhi kar do............ :)