PDA

View Full Version : Fashion World...!!!



CaLmInG MeLoDy
01-23-2015, 08:52 AM
Assalam o Alaikum

aaj subh main aik tv channel par fashion realated show daikh rahi thi..that was a pakistani show.

khayal aaya dil main.ke ye kis type ke log hain..kis qisam ke khawateen o hazrat hain.ke jin ke bolne chaalne ke andaz main farq nahi hai.. bazaahir mard nazar aate hue log.. khawateen ke andaaz main kaandhe uchkaa uchkaa ke batain kar rahe hain. alfaaz ko chaba chaba ke batain kar rahe hain..

aur bazaahir khaateen nazar aane waali ladies.. sleeve less clothing ke sath..na sharam , na haya, na hi husan-e-nazakat ..apne jismoun ki numaaish karti phir rahi hain..

ye koun log hain.
kahan se aaye hain
in ko hamara moaashra kion qubool kar raha hai
kia ham pakistaniyoun ke ye andaz hai?
kia ham musalmanoun ke ye tor tareeqe hain..

bohot baa parda ham bhi nahi.
magar is qadar be parda bhi nahi..

aap log is baare main kia kehte hain
kia aap logon ko ye namood-o-numaaish pasand hai?


main toh saaf alfaaz main kehti hon.mujhe bilkul bhi pasand nahi.
aise mard..na aisi khawateen...

Arosa Hya
01-23-2015, 10:30 PM
Well said mera to dil krta hai aag laga don inko
Tv tor don......
nhi to in pe pabandi laga don .....
pta nhi konsa culture adopt kr rahy hain or promote ker rahy hain ye log
Hya ki sense hi khatam krdi in logon ne....

Dr Maqsood Hasni
01-24-2015, 07:12 PM
ye koun log hain.
kahan se aaye hain
in ko hamara moaashra kion qubool kar raha hai
kia ham pakistaniyoun ke ye andaz hai?
kia ham musalmanoun ke ye tor tareeqe hain..



wah wah bohat khoob
mardoon ki naqal o harqaat aur nakhre khusrana se ho ge hain.
onhain aap mard ya ourat to nahain keh saktein bas taqribun khusre keh lain to thek rahe ga

Forum Guru
01-27-2015, 06:17 PM
Hmmmmmm Humein Tv Dekhnay Ko Time Fursat Nai Phr Bhi App Nay Note Kia Dekha Tu Un Ka Koi Page Wagera Hoga .....Tu Uss Mein App Comments Kar Kay Azhar Kayal Kar Lain ....