PDA

View Full Version : The Message 53



singer_zuhaib
12-03-2014, 07:45 PM
Assalam o Alaikum.

Title - TAALIB ILM

RABB Raheem ne Quran pak mai apne Mehboob Rasool (SALLALLAHO ALAI HE WA ALE HE WASALLUM ) ko ye Dua seekhai:

RABBI ZIDNI ILMA ( Aey ALLAH mere Ilm mai Izafa Farma ).

Hadees pak (SALLALLAHO ALAI HE WA ALE HE WASALLUM ) Hai:

k

Ilm Hasil karo yahan tak k Tumhe Cheen ( China ) he kio na jana pare.

Talib k maini Talabgaar or Ilm k maini

Janna

Pehchanna

Parakhna

Or

Samajhna

Hai,Talib Ilm yaani ( ILM ka Talabgaar ).

Ab aaj k Aksar Talib ilm,Apni Mehdood Soch k tehat ilm ko mehdood karte howe Sirf school,college,university ki books mai band ilm ko he Ilm samjhte hain

Jab

K Ilm sirf vohe nahe jo School,College,University,Mudarsa mai parhaya jata hai bal k kainaat ki har har shay k bare mai

Janna

Pehchanna

Parakhna

or

Samajhna bhi Ilm kehlata hai.

or

Aaj K Aksar Talib Ilm,Ilm Hasil karte he Faqat es soch se hain

k

Achi job mile gi
High status bane ga
High Qualification pe muje FNF mai Fame
mile ga,fulan k bete ne M.A kia hai,Ph.d ki hai etc etc.

Esi soch se unhe ye Sab koch to mil jaey ga par Vo Taleem yafta ho k bhi

Be Adab

Be shaor

Or

Be Aqal

Rehne k saath saath Gharor o Takubur mai Ghira rahe ga.

Result : Vo Bussinessman to ban jaey ge par ek

Ache Insaan

Ache Musalman

Ache Muhazib or Zime daar Shehri bane k sath sath vo ek Farz Shanaas Shehri nahe ban paey ge.

Irshad E RABBANI Hai :

K

Ghoor o fikar karne or Ilm rakhne walo k liye Meri Kainaat mai Nishaniyaan hain.

Ab ghoor Talab baat ye hai k Akhir Ilm Hasil kio,kis liye or kis maksad k liye Hasil karna chahiye...?

Sawal ka Pehla hissa k Insaan ko Ilm Kio hasil karna chahiye...?

Es liye k Ilm Roshni hai or esi Ilm ki Roshni jo Insaan k Dil o Deemagh ko vusat deti hai,sochne samjhane or Zindgi k Eham Mamlaat pe Sahe fesle karne ki salahiyate deti hai,jo Insaan ko zindgi k Har pehlo mai Seedha or Shafaaf Raasta dikhati hai,Insaan ko jahalat k andhero se nikalti hai.

Sawal ka Dosra or Teesra Hissa k Ilm kis liye or kis Maksad k liye Hasil karna chahiye...?

Insaan ko Ilm Apne Ap ko

Pehchanne

Sanwaarne

Sudhaarne

or

Nikhaarne

k liye Hasil karna chahiye

Jis ki waja se oski zindgi mai Positive Change aey
jis ki waja se Oski burai Achai mai badal jaey
jis ki waja se jahalat zahanat mai Badal jaey
jis ki waja se Hewaniyat Insaaniyat Mai badal jaey

Or

Jis ki waja se Kufriyat Momniyat mai badal jaey.

Talib Ilm ko Ilm chahe Kisi se,kahin se,kisi Source se,Or Chahe Kisi kisam ka bhi mile ose Ilm hasil karna chahiye.

Ab ek Acha Talib Ilm he Muashre ka Acha,zime daar,khud daar or Farz Shanaas Fard ban sakta hai

Na

k vo Talib Ilm jo Exam mai Pass hone k liye cheating ka sahara leta hai,jo Taleem mai he gher Zime daari ka Muzahira karta hai

Os ne

Kese Muashre ka Zime Daar Shehri bane ga...!
Kese Muashre mai Aman o Amaan phelana hai...!
Kese Zindgi ki zime Daario ko Sanbhale ga...!
.
.
.

kisi ne kia Khoob kaha hai k Kamyaabi k peeche bhaagte rehne se boht betar hai k Tum es Qabil bano k vo kamyaabi jis k peeche tum bhaga karte the vohe kamyaabi ek din jhak marte tumhare peeche bhaagti aa jaey gi.

Ek Acha Talib Ilm he Ek Acha Ustaad ban sakta hai,esa ustaad jo zime daari k saath apne jese Hazarah zime daar Talib Ilm Mulk o Qoom ko de sakta hai,esa Ustaad jo Talib Ilmo ko Shetaniyat or Hewaniyat se Nikaal k Insaaniyat ki taraf le ata hai.

Kainaat k har Talib Ilm ko apne Opar Farz kar lena chahiye k mai Apni Pori zindgi mai apne Aass Pass kisi bhi ek Un parh Insaan ko Muft likhna parhna seekhaon ga or os se ye ehd lo ga

K

Jese mai Tumhe Muft Likhna parhna (ILM ) seekha raha hon wese he Tum ne apni pori zindgi mai kum se kum ek Un parh Insaan ko likhna parhna (ILM) seekhao ge

Es

Tarhan ek shamaa se hazarah Shame jale gi,jahan ye Hazarah Shame Har Taraf Roshni Bhikherti jaey gi,Jahan ye Roshniyaan Zulmato or jahalato k andhero ko Maatati jaey gi.

Talib Ilm ka kaam hona chahiye k vo Apni Sari Tawajuh Apni Parhai or Apne Ache kaamo mai sarf kare jis ki waja se ose Muashre Mai Achi or Izat ki nigah se dekha jaey or oski zaat ki waja se loog os k parents ko bhi izat ki nigah se dekhe or unki bhi izat kare

Na

K Bure dosto k sath mil k awara gardi kare ya be huda sar garmio mai hissa leta phire or jis ki waja se vo khud to Muashre mai bura bane k sath buri nigah se dekha jane lage or os ki waja se Loog os k parents ko bhi Bure samajhte howe buri nigah se dekhe.

Talib Ilm ko Apni Roz Mara ki Routiene pe nazar Rakhni chahiye or dekhe k Muj mai esi kon si

Buraiyaan

Kohtaiyaan

Galtiyaan

Ab bhi Mojood hain,Jin ki waja se Mai Nakaam Ho Raha hon,kahaan time dena chahiye,kahan Mehnat karni chahiye,kahan deehaan dena chahiye

Or

Mai kahaan time de raha ho,Mai kahaan or kin kamo mai Mehnat kar raha ho or kahaan apna saara deehan laga raha hon...!

Or saath saath ose ye bhi Dekhna or sochna chahiye k mai Jo Salha Saal se Ilm hasil kar raha hon To kia Mere Ilm ne Mere Andar Mojood

Buraiyoon

Kohtaiyoon

Galtiyoon

Se Muje ab Tak Roka,kia muje in Sab buri Bato se Azaad kia...! Agar nahe to ose samajh lena chahiye k vo jo Ilm hasil kar raha hai vo ose Koi Faida nahe de Raha

Ese

He jese Ek Namazi Namaz Parhne k baad bhi Agar Gunnah se Baaz nahe ata or Touba nahe karta to its mean k vo namaz parh k bhi namaz nahe parh raha Kio k Namaz to Shetaaniyat se Toor k RABBANIYAT se joorti hai

Or

Ese He Ilm shetaniyat or Hewaniyat se Toor k RABBANIYAT Or Insaaniyat se joorta hai.

Aey Talib Ilmo ...!

Ilm Hasil karo zaroor zaroor karo par Es niyat se k Es Ilm se Insaaniyat ko Nafa pohnchana hai

Insaaniyat ki kher o bhalai k kaam karne hain
Ghareebo ko Unka Haq dilwana hai
Mazloomo ko zulm o Sitam se bachwana hai
Nadaar o Be Baso ko Sahara Dena hai
Bazurgo Muhtajo ki Madad karna hai
Haqq Sach ka Saath dena hai
Haqq k liye Awaaz othana hai

Or

In Sab Bhale kamo k peeche koi Riya kaari na ho bal k Sirf ye Niyat ho k Mere RABB O RASOOL (SALLALLAHO ALAI HE WA ALE HE WASALLUM ) Muj se Raazi ho jaey to be Shak yehe Haqeeqi Sachi Kamyaabi hai

Na

K Ilm hasil karne ki Niyat he yehe ho k Ilm Hasil kar

K

Jaiz o Na jaiz Maal o Dolat Kamana hai
Insaano Mai Shetaniyat phelani hai
Ghareebo ka Haqq marna or khana hai
Zalim or Zulm ka Sath dena hai
Nafaar o Be baso ki Nadaari Be Basi se Faida othana hai
Bazurgo or Muhtajo ko ek Dhaka or dena hai
Na Haqq kaam karne or Na Haqq Ka saath dena hai

Or

Haqq ko Or Haqq ki Awaaz ko Dabana hai.

Hadees Pak (SALLALLAHO ALAI HE WA ALE HE WASALLUM ) hai :

K

Amaalo ka Dar o Madaar Niyato pe hai.

Achi Niyat - Dono Jahano mai Acha Anjaam
Buri Niyat - Dono Jahano mai Bura Anjaam.

writer- ZB.