PDA

View Full Version : Dua.



CaLmInG MeLoDy
11-27-2014, 04:43 PM
[NOTE:YE TEHREER MAIN JALD AZ JALD URDU MAIN BHI SHARE KAROONGI .MAGAR ABHI URDU MAIN KUCH MISTAKES AA RAHI HAIN.]

Dua.

Main Bohot Wasee Ilm Ki Malik Nahi. Na Hi Main Jaanti Hoon Ke Deen-E-Islam Ko Kaise Phailaya Jata Hai Ya Kaise Logon Ke Sath Discussion Ki Jati Hai.Main Sirf Itna Jaanti Hoon Ke Mere Dil Main Is Mazhab Ki Ehmiyat Kitni Hai..Aur Mere Liye Ye Kia Maani Rakhta Hai. Main Ye Bhi Nahi Jaanti Ke Main Jo Batain Yahan Likhne Ja Rahi Hoon Wo Sab Ke Zehen Qubool Karainge Bhi Ya Nahi..Main Bas Itna Jaanti Hoon Ke Mere Apne Zehen Ki Paidawaar Hain Ye Batain .Lehaza Kisi Ko Bhi Meri In Baatoun Se Ikhtilaaf Ho Sakta Hai.Aur Kisi Ko Meri Ye Batain Sahi Bhi Lag Sakti Hain..Magar Ye Batain Sirf Meri Soch Aur Zehen Ki Milkiyat Hain..Lehaza Galat Bhi Ho Sakti Hain..

Farishtoun Ki Ehmiyat Aur Makaam Se Ham Main Se Koun Waqif Nahi.Aik Dafa Mujhe Khayaal Aaya Keh Kion Na Oonchi Oonchi Awaaz Main Apne Un Farishtoun Se Baat Karoon Jo Namaz Parhte Waqt Mere Ird Gird Aate Hounge..Ya Jo Har Waqt Mere Kaandhoun Pe Mojood Hain Hisaab Kitaab Likhne Ke Liye. Main Ne Socha Ke Meri Kia Hasiyat Hai..Main Toh Kuch Bhi Nahi. In Farishtoun Se Hi Kahoon Ke Mere ALLAH PAAK Se Ja Ke Mere Liye Dua Karo Ke Meri Ye Mushkil Asaan Kar Dain.Ye Khayaal Aate Sath Hi Phir Mujhe Ye Khayaal Aaya..Ke Main Jo In Farishtoun Se Kehna Chah Rahi Hoon Ke Main Is Mushkil Main Hoon..Toh Mere Toh RAB Direct Meri Ye Sari Mushkilaat Daikh Raha Hai..Wo Toh Meri Har Mushkil Se Waqif Hai. Aur Jab Mera MALIK Mujhe Daikh Raha Hai Toh Phir Main Apne MALIK Se Baat Na Kar Ke Balkeh Apne RAB Ke Hukum Ki Pairwi Karne Wale Farishtoun Se Baat Kar Rahi Hoon Toh Ye Toh Bohot Buri Baat Hai.Aur Ye Toh Aik Tarha Se Gustaakhi Hai. Jab Ke Main Janti Hoon Ke Meri Zaat..Meri Rooh Kahin Bhi In Farishtoun Ki Zaat Ka Muqaabla Nahi Kar Sakti..Na Hi In Jaisi Ibaadat Aj Tak Kabhi Main Ne Ki Na Hi In Ki Tarha ALLAH PAAK Hukum Ki Taameel Kabhi Main Ne In Ki Tarha Ki Hogi. Magar Phir Bhi Apne ALALH PAAK Se Jo Har Haal Main Mujhe Daihk Raha Hai. Aur Us Haal Se Bhi Waqif Hai Jo Dunia Waloun Ki Nazroun Se Ojhal Hai.Toh Phir Toh Mujhe Direct Dua Maangne Ki Khuahish Karni Hi ALLAH PAAK Se Chahiye Hai.


Ye Soch Dil Main Aate Aate Ussi Waqt Mere Dil Main Khayaal Aaya.Ke Jis Tarha Farishtoun Ki Ibadat Aur Hukum Ki Taameel Ka Muqaabla Ham Nahi Kar Sakte …Waise Hi Jitney Bhi Hamare Molvi Hazraat Hain, Ya Hamain Deeni Ilm Dene Wale Loug Hain, Ya Hamare Peer Etc Etc.. Hain..Ham Toh Unki Ibadat Aur Naiki Ka Bhi Muqaabla Nahi Kar Sakte..Zahir Hai.Ham Se Kahin Ziada Unka Darja Hai. Beshak Farishtoun Se Thora Kam Hoga Unka Darja Ye Toh ALLAH PAAK Behtar Jaane..Magar Ham Kam Az Kam Unka Muqaabla Nahi Kar Sakte Aam Insaan Hone Ke Naate..Phir Bhi Ham Main Se Bohot Se Loug Apne ALLAH PAAK Se Direct Maangne Ki Bajaye In Hi Hazraat Ke Paaas Ja Ke Faryaad Karte Hain.Kahin Se Taaweez Gannda Karwate Hain , Toh Kahin Maathe Taikte Hain. ALLAH Mehfooz Rakhe Ham Sab Ko Is Tarha Karne Se..Magar Jo Loug Aisa Kia Karte Hain Wo Yakeenan ALLAH PAAK Pe Yakeen Chor Kar In Hazraat Pe Ziada Yakeen Kia Karte Hain. Ye Kion Bhool Jate Hain Ke Chahe Ham Houn .Hamare Naik Hazraat Houn .Ham Se Ziada Ilm Rakhne Wale Houn.Ya Farishte Houn Ye Sab ALLAH PAAK Ke Taabe Hain…Aur Jab Tak ALLAH PAAK Chahta Hai Ye Sab Gardish Main Rehte Hain..Toh Ham Kion Bhatak Kar Yahan Wahan Apne Hath Paaown Maara Karte Hain.

Hamain Chahiye Ke Ham Apne Deen Yaani Deen-E-Islaam Ki Bunyaadi Batoun Ko Kabhi Bhi Apne Zehen Se Ojhal Na Hone Dain.Na Hi In Dunyavi Pareshaniyoun Main Par Kar Aakhrat Ke Aur Deen Ke Jo Hamare Usool Hain Unko Bhoolain..Ye Toh Intihayee Ziaadti Hai Apne Ilm Ke Sath.Apne Deen-E-Islam Ke Bunyadi Usooloun Ke Sath Aur Gustaakhi Hai NABI-E-PAAK HAZRAT MUHAMMAD MUSTAFA SALL ALLAH HO ALAHE WASSALAM Ki Ummat Ki Shaan Main Aur Sara Sar Radd Hai ALLAH PAAK Ke Hukum Ka. Ham Main Se Bohot Se Insaan Duniyaavi Kamzori Paa Ke Boukhla Jaaya Karte Hain. Jaise Paise Ki Kami, Aulad Ki Kami, Izzat Ki Kami, Makaan Ka Na Hona. Jaaidaad Ka Na Hona..Ham Insaan Ye Bhool Chuke Hain Ke Dunia Main Aik Behtreen Imaarat Ka Malik Hona, Aik Car Ka Malik Hona, Lougon Ke Samne Oonchi Gardan Hona, Ya Kisi Bhi Dunyaavi Shaan Ka Hona Hamare Liye Farz Nahi Hai..Ham Insaan Yahan Sookhi Roti Aur Paani Pee Ke Bhi Jee Sakte Hain Ye Toh Hamare ALLAH PAAK Ki Inaayat Hai Ke Hamain In Main Se Bohot Si Naimatoun Se Nawaz Deta Hai, Warna Ham Insaan Toh Aik Doosre Ke Hukum Ki Taameel Na Kar Ke Aik Doosre Se Ye Hi Sab Kuch Cheen Lena Chahte Hain Ya Kisi Ke Paas Ye Sab Daikh Kar Jal Jal Marte Hain , Toh Ye Toh Hamare ALLAH PAAK Ki Shan Hai Ke Wo Nawaazta Bhi Hai, Aur Phir Moaaf Bhi Farmaata Hai, Hamari Rassi Dheeli Bhi Chorta Hai , Aur Hamari Na Farmaani Har Waqt Daikh Kar Hamain Aur Dheel Bhi De Raha Hota Hai, Ham Insaanoun Ki Ye Ouqaat Kahan Ke Ham Kisi Ko Moaf Kar Sakain.

Baat Kahan Se Kahan Nikal Jati Hai, Baat Ye Ho Rahi Thi Ke Dua Maangna Aik Aisa Amal Hai Jo Sarasar Insaan Aur ALLAH PAAK Ke Aapas Ki Baat Hai, Kion Ke Chahe Kuch Bhi Ho Jaye, Hamara Muqaadar Sirf ALLAH PAAK Ke Hukum Se Hi Badal Sakta Hai. Toh Na Ye Taaweez Gannde , Na Hi Ye Mazaar, Na Hi Dunia Main Rehne Wale Loug Hamain In Sab Cheezon Se Nawaz Sakte Hain, Na Hi Door Kar Sakte Hain. Haan Ye Dunyaavi Loug Hamare Liye Hamare Hi ALLAH PAAK Se Dua Zaroor Kar Sakte Hain , Kion Ke Ham Main Se Bohot Se Loug ALLAH PAAK Ke Saamne Maqbool Hain. Jin Ki Haajat Aur Dua ALLAH PAAK Bohot Jald Qubool Farmaata Hai, Aur Hamare Liye Toh Dua Bhi Koi Tab Hi Kare Ga Jab Hamara Ikhlaaq Us Insaan Se Acha Hoga. Dua Toh Wo Insaan Phir Hamain Khud Ba Khud Hi De Ga.. Zaroorat Sirf Apne Deen Ke Usooloun Pe Pakke Rehne Ki Hai. Kion Ke Zindagi Kitni Hai..Bohot Ho Gai Toh Pachaas Saal. Saath Saal, Sattar Saal, Aasssi Saal Ya Nawwe Saal..Ya Kuch Aur….Is Ke Baad Toh Jo Hamara Hai.Wo Yaheen Dhara Ka Dhara Chor Kar Jin Se Ham Jala Karte The Unke Hawale Kar Ke In Sab Cheezoun Se Aankh Band Kar Ke Abdi Neend So Jaye Ge. Aur Phir Dobara Apne RABB Ke Samne Hazir Kiye Jaaye Ge..Jo Is Kull Kaainaat Ka Malik Hai. Lehaza Apni Soch Ko Mehdood Karne Ki Bajaye Hamain Dunia Ki Haqeeqat Ko Samajh Kar Aage Barhna Chahiye..

Paani Main Mill Ke Paani Anjaam Ye Ke Paani.
Bigre Gi Aur Bane Gi Dunia Yaheen Rahe Gi.
Hounge Wo Hi Jhamele Ye Zindagi Ke Mele
Dunia Main Kam Na Hounge Afsos Ham Na Hounge

singer_zuhaib
12-01-2014, 08:13 AM
Assalam O Alaikum.

Kis kis ko Insaan samjhaey or vo insaan jo khud na samajh hai.

bas kisi k maslik ko Chero na or khud kisi ko apne maslik ko cherne na do.

par mai har maslik mese Aala or afzal behtareen baato ko sun k ose samajh k ospe chalne or amal karne ki koshish karta rehta ho.

kio

k Manzil to ek he hena RABB REHMAN ki or RASOOL pak ki Pak zaat bus Raaste juda juda hain.

singer_zuhaib
12-01-2014, 08:18 AM
ek or baat jo mene note ki hai k Deen Islam ka Hasil or nichor agar kisi Maslik firqe mai hai to vo Sufism hai.

sufism mai Deen ka Nichor or Tehqeeq shuda hasil kalam hai.

or Ap thora boht sufism ko study zaror kijiye ga baki ap behtar janti hain jese ap ko behtar lage.

CaLmInG MeLoDy
12-01-2014, 08:55 AM
ek or baat jo mene note ki hai k Deen Islam ka Hasil or nichor agar kisi Maslik firqe mai hai to vo Sufism hai.

sufism mai Deen ka Nichor or Tehqeeq shuda hasil kalam hai.

or Ap thora boht sufism ko study zaror kijiye ga baki ap behtar janti hain jese ap ko behtar lage.
Is it possible k yahan sufiism shring b ho, v need it, shayad kisi ka bhala ho jay

singer_zuhaib
12-03-2014, 02:43 PM
Mai INSHAALLAH TAALLAH mai sufism se jald he koch posts karo ga.